Inspirational Shayari

Aye khuda baithe bithaye ye haadsaa kaise ho gaya Woh dhurt paapi zalim pakhandi badshah kaise ho gaya

Insaan tu insaan ban Insaaniyat ka nigebaan ban Dharm mazhab ke bhedbhaav mein mat tu haiwaan ban म

Duniya ka sab se anpad gawar aur jaahil insaan woh hai jo ye maanta hai ke koi kitaab aasmaan se utar sakti hai aasmaan se sir paani aata hai aur paani aata rahe isi mein insaan ka bhala hai

Main to bas upar se hi zinda nazar aa raha hoon Andar se to main kab ka mar chuka hoon

Sharaab angur ki beti sharaab angur ka ras hai sharaab par aye saki kis ka bas hai

Jaise namaazi ke liye masjid ka martaba Waise hi sharaabi ke liye maikada mukaddas hai

Karne wazu sharaab se aaya hoon maikadey paar karni hai aaj nashe mein ibadat ki sab haddey

Kuch musalma mujh musalma ko Kaafir kahte hai Aur kaafir mujhe Tanz se musalma Kahte hai Mujhe to ab dono hi labz gaali lagne lage hai

Ek zindagi ko kandhe par uthakar Ek zindagi ki raah par chal raha hoon Badalta waqt mujh ko badalta hai Aur log kahte hai main badal raha hoon

Har insaan ko apni ladaai Khud ladni padti hai Tu bhi apni ladaai ladne ko Tayyar ho jaa

Daulat bhi zaroori hai Par pariwaar se badh kar Kuch bhi cheez nahi hai

Zara allaah ki shaan to dekho Ke allaah ke aagey panch waqt sajda karne wale banda Ek na namaazi na farmaan bande ke aagey chand tukdon ke liye jholi phailate hai

Abhi abhi to jawaani ki dahleez par pahla kadam rakha hai abhi se rota hai kya Aage ki soch dekh aage hota hai kya

Ab yahaan log hame saath jeene nahi denge Chalo koi aur duniya basa lete hai

Yahaan wahaan iske uske chakkar mein kya fasa hai Wohi tera asli malik hai jo tere mann mein basa hai