Inspirational Shayari

Aye khuda tu kya samajh ta hai tune adami ko banaya hai Ye teri galat phaimi hai Adami ne tujhe banaya hai

Bhai ko bhai ka dushman banata hai Aur masjid lijakar sajda karata hai

Darta toh main bhi nahi hoon tere khauf se Aaja mere samne bade shauk se

Ya allaah mujhe bhi talim banade Tere jaisa zalim banade

Aye khuda agar teri fitrat mein kaher To main bhi insaan hoon mere khoon mein bhi zaher

Apni kitabon mein badi badi baatein aur bade bade karta hai Gareebon ki jholi khali kar ke ameeron ki tijori bharta hai

Aye khuda tu apne naam se bahot darata hai logo ko Magar mujhe darane se pahle apna asli naam to bata

Aye khuda tune bahot achcha khel racha hai duniya ka Upar baithe baithe dekh raha hai naach gareeb ki Muniya ka

Dar toh tujhe bhi lagta hoga Ke adami kahi tujhse bada na ho jaye Tere zulm ke aage kisi roz uthkar khada na ho jaye

Aye khuda tera ye kya natak hai Main bhi dekta rahunga jaan mein jaan jaha tak hai

Teri jannat tere paas rakh mujhe dozakh se daranewale Main tujh se darta nahi aisi zalil duniya banane wale

Shayari aati nahi likhne ki koshish karta hoon Chota sa hoon bada dikhne ki koshish karta hoon

Waqt ke haathon bada majbur hoon Iss liye aye mere dost main tujh se door hoon

Waqt ne mujhe kuch iss tarha se maara Wohi chodkar gaya jo tha mujhe sab se pyara

Itni badi daulat khoke main khush rahnewalon mein se nahi Aye mere dushman tu hosh mein aa main chup rakne walon mein se nahi