Inspirational Shayari

Yahaan wahaan iske uske chakkar mein kya fasa hai Wohi tera asli malik hai jo tere mann mein basa hai

Zindagi kabhi aasaan to kabhi mushkil hai Uski kadar kar Jo tere shukh dukh mein shamil hai

Tere jaane ke baad pata chala kitni khaas hai tu Mere dil ka ahsaas hai tu Har ghadi har lamha har pal mere aas paas hai tu MERI MAA

Roshni se andhere mein aa gaye Insaaniyat chod kar dharm mazhab ke ghere mein aa gaye

Nazar utha kar bhi nahi dekhta hai woh aaj kal irfaa Na jaane woh kis baat par mujh se sharma ta hai

Waqt ki yahi khasiyat hai irfaa Woh bina bataye hi badalta hai

Aaj wohi shakhs dur bhagta hai humse irfaa Jo kabhi humse milne ko taras ta tha

Jo iss duniya ko nahi samajh pata hai woh rota hai irfa Aur jo samajh jata hai woh bahot zyada rota hai

Woh mahnat kash bahadur kisaan mazdur sachcha hai Usko na sata Woh gareeb bad naseeb maa ka majbur bachcha hai

Zindagi sab ki ek si nahi hoti Kismat bhi alag alag hoti hai Kyun ki waqt ek sa nahi rahta Waqt achcha bura hoto rahta hai

Tujhe khush rakh saku ye mere bas ki baat nahi Teri chaukhat par to main apni khushi ke liye aata hoon

Jo muqaddar mein likha hota hai wohi hota hai Sukh dukh paap ya punya ka bhog nahi hai Hum ne paapiyon ko shaan se jeete dekha hai aur punya atmaon ko tadap tadap ke jeete aur marte dekha hai

Woh apki mohabbat ne zinda rakha hai Warna zindagi se to kab ka dil uth chuka hai

Mohabbat dilo ka khel hai Dekh na kahi dil na toote Kas ke pakad na haath kahin haath na chhoote

Dekh kahin teri zindagi na guzar jaye Intezaar ki umr badi lambi hoti hai