Latest Shayari

Sar jhukata hai Sajde mein Badnaam bada hai kazbe mein

Dhaar nahi hai talwaar mein Dushman khada hai kataar mein

Kya khaas hai ye sansaar mein Har chiz bikti hai bazaar mein

Aye khuda tu kya samajh ta hai tune adami ko banaya hai Ye teri galat phaimi hai Adami ne tujhe banaya hai

Bhai ko bhai ka dushman banata hai Aur masjid lijakar sajda karata hai

Darta toh main bhi nahi hoon tere khauf se Aaja mere samne bade shauk se

Ya allaah mujhe bhi talim banade Tere jaisa zalim banade

Hay re mere rabba haay re mere rabba Teri duniya ab ho gayi hai kachre ka dabba

Aye khuda agar teri fitrat mein kaher To main bhi insaan hoon mere khoon mein bhi zaher

Apni kitabon mein badi badi baatein aur bade bade karta hai Gareebon ki jholi khali kar ke ameeron ki tijori bharta hai

Aye khuda tu apne naam se bahot darata hai logo ko Magar mujhe darane se pahle apna asli naam to bata

Aye khuda tune bahot achcha khel racha hai duniya ka Upar baithe baithe dekh raha hai naach gareeb ki Muniya ka

Dar toh tujhe bhi lagta hoga Ke adami kahi tujhse bada na ho jaye Tere zulm ke aage kisi roz uthkar khada na ho jaye

Aye khuda tera ye kya natak hai Main bhi dekta rahunga jaan mein jaan jaha tak hai

Teri jannat tere paas rakh mujhe dozakh se daranewale Main tujh se darta nahi aisi zalil duniya banane wale