Posted On: 29-08-2019

Kabootar - Dove

client1

Dove - Kabootar

कबूतर

भारत सहित काई देशों में,
यह पक्षी मिल जाता.
भरता है लंबी उड़ान यह,
सारा जग बतलाता.
धवल, सफेद और कुछ काला,
रंग बिरंगा होता.
पास बस्तियों के रहता है,
खंडहरों में सोता.
विश्व शांति का दूत कबूतर,
संदेशे पहुँचाता.
चाहे कितनी भी दूरी हो,
फ़ौरन आता जाता.
खाता है दाने अनाज के,
और गुटर गूं करता.
अगर पालतू बन जाए तो,
नही किसी से डरता.

Dove

Bharat sahit kayi deshon mein,
yah pakshi mil jaata.
bharta hai lambi udaan yah,
saara jag batlaata.
dhawal, safed aur kuchh kaala,
rang biranga hota.
paas bastiyon ke rehata hai,
khandaharon mein sota.
vishv shanti ka doot kabootar,
sandeshe pahunchaata.
chaahe kitani bhi doori ho,
fauran aata jaata.
khaata hai daane anaaj ke,
aur gutar goon karta.
agar paaltoo ban jaaye to,
nahi kisi se darta.