' KYA TUM VAHI HO '
Kya tum Vahi ho , jo mere Baat ne karne pe
Rooth jaya karte the
Kya vahi ho jo mere Preshan hone par
Mujhe Bharosa dilaya karte the
Jo har Roz Chodkar na jaane ke
Mujhse Vaade karaya karte the .....
Kehne se pehle hi Mere vo Pyaar bhare shad sunaya karte the ....
Hota koi bhi kaam bas mujhko bulaya karte the
Jo har kahani har kissa pehle mujhko btaya karte the. .,
Kyaa tum vahi ho ....?
Mana mai ek ajnabi hu tumhare liye ab
Par yu iss tarah mukar jana tumhara
Har Roz ek jakhm ki tarah chubhta hai mujhe ...
Jo Raaste hua karte the tumhare aur mere kabhi
Yu unn Raasto par se tumhara kisi aur ke saath Gujarana...
Har Roz rulaata hai mujhe....Har pal Tadpata hai mujhe ....
Puchta hu fir se kya tum vahi ho. .....
Jo kehte the mai nahi Reh Sakti tumhare Bina
Jo har pal bas mujhko kehti thi
Ab koi na hoga tumhare siwa ....
Kya tum vahi ho ,
Jiske sapno ka mai hissa hua karta tha
Kya vahi ho jiski har kahaani ka mai kissa hua karta tha. ....
Kya tum vahi ho jo mine ki mujhse Zid kiya karte the ...
Kya vahi ho jo mujhse Baatein , behad kiya karte the. ...
Kya vahi ho jo taarife sunkar mujhse
Yu itraaya karte the , yu sharmaya karte the
Aur jo pyar bhare naam mai diya karta tha tumhe
Kya vahi ho jo mere diye har naam par khush ho jaya karte the ....
karta tha yakin itna tumpe ,
Ke Zehan ko ab bhi yakin nahi hota
Shayad tum ab vo nahi. ,
Shayad tum ab vo nahi .....;
A conversation in words
0 commentsLog in to join the conversation.