Tamanna Phir Machal Jaaye, Agar Tum Milne Aa Jaao, Ye Mausam Bhi Badal Jaaye, Agar Tum Milne Aa Jaao. Mujhe Gham Hai, Ke Maine Zindgi Main Kuchh Nahi Paaya, Ye Gham Dil Se, Nikal Jaaye, Agar Tum Milne Aa Jaao!! Ye Duniya Bhar Ke Jhagde, Ghar Ke Kis’se, Kaam Ki Baatain, Balaa Har Eik, Tal Jaaye, Agar Tum Milne Aa Jaao!!! Nahi Milte Ho, Mujh Se Tum To, Sab Humdard Hain Mere, Zamana Mujh Se, Jal Jaaye, Agar Tum Milne Aa Jaao!!
A conversation in words
0 commentsLog in to join the conversation.