Dard Bhari Shayari

Wo sava yaad aaye bhulane ke bad zindagi badh gai zeher khane ke bad dil sulagata raha aashiyane ke bad aag thandi hui ik zamane ke bad roshni ke liye ghar jalana pada kaisi zulmat badhi tere jane ke bad jab na kuch ban pada arz-e-gam ka javab wo khafa ho gaye muskurane ke bad dushmanon se pasheman hona pada hai doston ka khulus aazamane ke bad bakhsh de ya rab ahal-e-havas ko bahisht mujh ko kya chahiye tum ko pane ke bad kaise kaise gile yaad aaye ‘khumar’ un ke aane se qabl un ke jane ke bad

Click here to login if already registered or fill all details to post your comment on the Shayari.

First Name*
Last Name*
Email Id*
mobile number*