Ye zindagi kya hai ek paheli hai !
Sukh aur dukh ki saheli hai !
Kabhi dikhati mayusi, dard,
To kabhi khushiyon ki toli hai !
Wqt ki parwaah mat kar tu chalta chal,
Ek din milegi tujhe manzil ye taiy hai !
Maan ki tujhe mil rahe hain har pal dhoke,
Bina dard jiye, khushi ka ehsaas mushkil hai !
Dekha hai maine tujhe wqt pe aansu bahaate,
Yu is tarah manega haar to jeet mushquil hai !
Mai ye to nahi kehta khatm kar dunga dukh tere,
Hu saath tere har mod pe ye bulkul sach hai !!
A conversation in words
0 commentsLog in to join the conversation.