" पूछे कोई तुमसे "
puche koi tumse mere Baare mei , Keh dena koi khaas nahi tha ...
Ek shaqs Mila tha yuhi ,
Jo ek galti kar baitha tha
Jo haq mene na diya tha usko ,
Bas vahi kar baitha tha ....
Vese to kehta tha dost mujhe ,
Par mujhse ishq kar baitha tha
Keh dena ki vo tariffe mei yuhi bewajah hi karta tha
Dukh mei mujhe hasane ki koshi hazaar karta tha ...
Kehne par bas mere yu daud ka aajata tha
Bahane saath bitaane ke yuhi talaash karta tha
Na jaane kya samajh baitha tha
Naa jaane kya jaan baitha tha
Sapno ko bhi mere apna maan baitha tha .
Nasamajh tha shayad , ya sochkar sab karta tha
Bhulkar khud ko bas parwaah meri karta tha
Kabil nahi tha kabhi mere ,
Na usme hunar koi khaas tha .
Bas Bewakoofiyaan si karta tha
Bewajah hi mere liye , ankho mei anshu bharta tha
Keh dena fir se , ek shaqs tha jo kuch khaas nhi tha
Waqt Rehte hi usko Ehsaas ab kara diyaa
Jee Raha tha sapno mei ,sapno se usey jaga diya
A conversation in words
0 commentsLog in to join the conversation.