Sad Shayari

Posted On: 03-06-2021

" पर सच कहूं " ............... ( A story ) Tumhare mujhko khud se dur karne ke vo akhri Pal aaj bhi yaad aa jaate hai , jab kaha tha tumne ' I am not feeling good with you yaar ' ...Ab mujhe tumse nahi hai pyaar . ....Na Jaane kab vo 1 saal 1 mahine aur 16 din baad tumko realise ho gya ki tumko pyaar nhi , hongi shayad tumhari apni koi mazburiyan nayi .... Par Sach kahu ...vo tumhare shabd mujhe choobh rahe the bahut , vo pehle wali tum ko mai dhoond raha tha bahut . Par sach kahu ...tumhari khushi to mene dekh hi li thi mene tumhare alag jaane mei ...Haan mene kaha tumse usdin milne ke liye .. Haan mene Zid bhi ki thi .... Par sach kahu ....jo mai kar raha tha zid tumse milne ki ...tumhe milna to chahta tha par tumhe Rokna na chahta tha ...haan mai toot raha tha andar se bahut. Par sach kahu ....Haan vo saare pal ek baar fir se jeena chahta tha mai , tumhe jee bhar ke dekhna chahta tha mai ...haan bas ek baar tumhare haath apne hatho pe rakhkar , tumhari komal hatheliyo ko fir se mehsoos karna chahta tha mai . Par sach kahu ....Vo jo yuhi drive par nikal jaya karte the hum , ...Vo jo bike par baithkar sath bas baaton hi baaton se mene aur tumne apna ek alag jahaan bana liya tha ...Uss jahan mei bas ek baar jakar aana chahta tha mai . Haan mai jaan gaya tha ki aagey ki ye life ab tumhari bina aasna nahi honewali hai ....Are tumko kho dene ka , tumse dur hone ka , tumse Baat na ho paane ka mera sabse bada darr sach jo honewala tha ...Usi aanewali mushkil bhar life ke liye ek baar tumhari hasi ko dekhna chahta tha aur hamesha ke liye inn ankho mei bhar lena chahta tha Mai ... Par sach kahu ....koshish to uske baad bhi kaafi ki mene bas ek baar mil jaane ki ...ek darr bhi laga rehta tha ki kahin tum aur na rooth jaao ...Haan mai aagya tha bina bulaaye usdin ,..Ha vese to tumne usdin meri taraf dekha bhi na tha . Khair tumko dekhne ki ummid mei kai baar mai gujra unn raasto par se Jinse tum hokar Guzarte the ... Haan ab tum mere nahi samajh to gya tha .....par ye to dil tha na Bas maan nahi raha tha . Sach kahu ...Ab chod diya hai unn Galiyon se bhi guzarna maine ....janta tha ki tum mujhe dikh to jaaoge esa karne se shayad ....Par uske baad tumhare yu nazar fer kar chale jaane se Jo dard mujhe hota hai. ....Vo mai Bayaan na kar saku shayad . Ek sach aur kehta hu ...tumhe bepanah Mohabbat karta tha aur karta hu ...Aur shayad esi mohabbat ab dobara kisi se na ho paaye ...Haan Ye bhi ek Sach Hai .

Click here to login if already registered or fill all details to post your comment on the Shayari.

First Name*
Last Name*
Email Id*
mobile number*