Sad Shayari

Posted On: 20-09-2021

fasle aise bhi honge ye kabhi socha na tha samne baiTha tha mere aur wo mera na tha wo ki KHushbu ki tarah phaila tha mere chaar-su main use mahsus kar sakta tha chhu sakta na tha raat bhar pichhli si aahaT kan mein aati rahi jhank kar dekha gali mein koi bhi aaya na tha main teri surat liye sare zamane mein phira sari duniya mein magar koi tere jaisa na tha aaj milne ki KHushi mein sirf main jaga nahin teri aankhon se bhi lagta hai ki tu soya na tha ye sabhi viraniyan us ke juda hone se thin aankh dhundlai hui thi shahr dhundlaya na tha sainkaDon tufan lafzon mein dabe the zer-e-lab ek patthar tha KHamoshi ka ki jo haTta na tha yaad kar ke aur bhi taklif hoti thi 'adim' bhul jaane ke siwa ab koi bhi chaara na tha maslahat ne ajnabi hum ko banaya tha 'adim' warna kab ek dusre ko hum ne pahchana na tha

Click here to login if already registered or fill all details to post your comment on the Shayari.

First Name*
Last Name*
Email Id*
mobile number*