Dost mile bichad gaye..
Us waqt main raste badal gaye...
Badalti sawarti thi kismat roj meri...
Un dinoon baarish hoti thi dost Meri..
Beega kar jo mere aansoo chupa jati thi.. Wo dost meri
12/06/16, 23:29
Writer’s notebook
Share your writing ↗The writing of Likha Sulit
Thoughts, feelings and moments shared with the community.
Dost mile bichad gaye..
Us waqt main raste badal gaye...
Badalti sawarti thi kismat roj meri...
Un dinoon baarish hoti thi dost Meri..
12/06/16, 23:29
Tere Bina Kuch bhi Aacha Nahi lagta, Baarish ka Ruk kar aana Aacha Nahi lagta
Tere Bina saawan Ka aa jana Sacha Nahi lagta
Tu aa jaye phir ek baar, aa jaye ek baar phir bahar
Jeewan Ka ye fasana, ye din suhana Aacha Nahi lagta
Waqt se ladkar pareshaan Nahi hoon main
Har waqt intazaar ke pal se hairaan Nahi hoon main
Waqt ne hi Tera saath choodaya Hai
Ye waqt hi Tera saath dilayega
Ruk Ruk kar Jo Teri Yaad aati Hai
Dil bhi sama Nahi sakta Yaadoon Ka sailaab
Sab ek saath
Sham bhi Bhool chuki thi Apni pehchaan
Subah Ko bhi Nahi tha Apna Pata
Tere Na hone se mausam pe ye kayamat Aayi
Suraj Bhi Nikla to Baarish ke saath
Saath Chalne ki baat Hai
Haanth main haanthon main Ho Na ho
Raat dhalnain ki baat Hai
Chaah Milne ki tabdil mulakatoon main Ho Na ho
Toofan to gujar Jayega tere saath hone se
Zikra uskamukadar Ka baatoon main Ho Na ho
Tujhse haar kar baitha hoon
Bazi thi Dil ki
Phir khelne ek baar baitha hoon
Jaanta hoon daav Kya hoga Tera
Jaan kar bhi tere liya.. Haar ko taiyaar baitha hoon
Teri Yaado ko jooda to Kuch pal Kam mile
Ruswayi main bita diye Jo saawan Kam mile
Zindagi ki bhaag main phirta Raha main kyoun
Kyoun Na socha kismet se Pahle Jo Na tum mile
Mujhe Thoda Kam chahiye Tha
Ek humsafar Nahi ek humdum chahiye Tha
Teri Sirf Khushi Nahi, saara gum chahiye Tha
Teri kismet sawaar doon wo khuda Ka fan chahiye tha
Baarish ki saundhi phuhaar Hai
Subah ki Thandi bayaar Hai
Dil main ye sama Na payega
Mera samandar sa Jo Pyaar hai
Khushbu bhi Itni door se udd ker aati Nahi
Khabar tere ahsaas ki Hawa bhi lati Nahi
Lekin use Pata nahi Tera mera rishta
Dil Bolta Hai Dil sunta Hai. Ise Kisi zariye ki Yaad aati nahi
Tammanaye bhi meri palkoon Si jhapak jati Hai...
Bheed main soonsaan hone ko Hai waqt Thoda... Bulandiyoon main gumnaam hone ko Hai waqt Thoda
Zindagi jaane kis waqt main karwat badal jati Hai
Justajoo ke liye waqt hai Thoda... Beerookhi ke liye Aur thoda
Panchi ke par ki tarah
Armaanoon ke samandar ki Tarah
Vishaal Hai tumhari tamanaaye mere liye
Shukriyaa main karoon khuda ki is enaayat Ka
Bhatakta yu rahta kaafir ki Tarah
Mil Na jate tum banane zindagi ko roshan
Beet jati ye zindagi musafir ki tarah
Your voice belongs here.
Share a thought, a poem or a story with the community.
Start writing ↗