Log na jane kaise khil khila
Kar haste hai
Idhar muskuraye hua ek arsa
Ho gaya
Writer’s notebook
Share your writing ↗The writing of Fakeera the fakir badshah Saab
Thoughts, feelings and moments shared with the community.
कोई कांधे पर कमली ओढ़ कर
घूमता था
फ़कीर बादशाह साब सर पर
कफ़न बांध कर झुमते है
Koi kandhe par kamli odh kar
Ghumta tha
Fakir badshah Saab sar par
Kafan bandh kar jhumte hai
Yaa allaah aye mohammad
Jane kya baat hai
Mere musalmaan hone ki
Wazah se log mujhe nafrat
Ki nazaar se dekhte hai
Allaah ne jannat mein
Sharaab ki nahrey bana di
Aur duniya mein sharaab
Par pabandi laga di
FAKEERA THE GREAT
FAKIR BADSHAH SAAB
Badi dur saath samandar par
Jakar haj kar ke aaya
Magar
Bhai ke liye dil mein jo nafrat thi
Woh nafrat phir saath lekar aaya
ना हिन्दू ना मुसलमान
ना सिख ना ईसाई
अगले जनम मोहे
इंसान बना कर भेज
Log haathon mein patthar bhi
Uda uda kar dikha te hai aise
Humne kabhi sone chandi kabhi
Hirey moti ka bhi dikhawa na kiya
Log mitti ke haath me
Sona liye khade hai
Mere sone ke haath se
Mitti phisal rahi hai
Gira gar mere sar par patthar
To hasta kya hai
Ye mat bhool ke tu bhi usi
Pahad ke saye mein rahta hai
Sar jhukata hai
Sajde mein
Badnaam bada hai
Kazbe mein
FAKEERA THE GREAT
FAKIR BADSHAH SAAB
Sar jhukaya hai
Sajde mein
Badnaam bada hai
Kazbe mein
FAKEERA THE GREAT
FAKIR BADSHAH SAAB
Tu parde ke piche chupkar
Tamasha dekh raha hai
Tere naam par chalak insaan
Jane kya kya phek raha hai
FAKEERA THE GREAT
FAKIR BADSHAH SAAB
Main zindagi se
Zindagi mujh se
Bezaar ho gayi hai
Mera jism nahi
Meri rooh bimaar
Ho gayi hai
FAKEERA THE GREAT
FAKIR BADSHAH SAAB
Musalman ro ro kar ghid ghida kar
Khushiyon ki duaa mangta hai
Magar phir bhi zyada tar musalmaan
musibat mein ro ro kar adiyan ragad
ragad kar zindagi guzaar ta hai
FAKEERA THE GREAT
FAKIR BADSHAH SAAB
Woh maullavi mujhe masjid
me aane nahi deta
Woh kahta hai tu sharabi hai
Aur masjid khuda ka ghar hai
Woh nadaan hai woh masjid ko
khuda ka ghar samajh ta hai
Main samajh ta hoon ke sari
Kaynaat hi khuda ki masjid hai
Jahaan chahe namaaz padh
Jahaan chahe sajda kar
Main bhi toh pareshaan hoon
Mujhe bhi kisi kone mein baith
Kar thodi si sharaab piney dena
Aye Namaazi
FAKEERA THE GREAT
FAKIR BADSHAH SAAB
19/09/2020
Your voice belongs here.
Share a thought, a poem or a story with the community.
Start writing ↗