Har insaan ko apni ladaai
Khud ladni padti hai
Tu bhi apni ladaai ladne ko
Tayyar ho jaa
Writer’s notebook
Share your writing ↗The writing of Fakeera the fakir badshah Saab
Thoughts, feelings and moments shared with the community.
Daulat bhi zaroori hai
Par pariwaar se badh kar
Kuch bhi cheez nahi hai
Zara allaah ki shaan to dekho
Ke allaah ke aagey panch waqt
sajda karne wale banda
Ek na namaazi na farmaan bande
ke aagey chand tukdon ke liye
jholi phailate hai
Abhi abhi to jawaani ki
dahleez par pahla kadam
rakha hai abhi se rota hai kya
Aage ki soch dekh aage hota hai kya
Ab yahaan log hame
saath jeene nahi denge
Chalo koi aur duniya
basa lete hai
Yahaan wahaan iske uske
chakkar mein kya fasa hai
Wohi tera asli malik hai jo
tere mann mein basa hai
Zindagi kabhi aasaan to
kabhi mushkil hai
Uski kadar kar Jo tere
shukh dukh mein shamil hai
Tere jaane ke baad pata
chala kitni khaas hai tu
Mere dil ka ahsaas hai tu
Har ghadi har lamha
har pal mere aas paas hai tu
MERI MAA
Roshni se andhere
mein aa gaye
Insaaniyat chod kar
dharm mazhab ke
ghere mein aa gaye
Nazar utha kar bhi nahi
dekhta hai woh aaj kal irfaa
Na jaane woh kis baat par
mujh se sharma ta hai
Waqt ki yahi khasiyat hai irfaa
Woh bina bataye hi badalta hai
Aaj wohi shakhs dur bhagta
hai humse irfaa
Jo kabhi humse milne ko
taras ta tha
Jo iss duniya ko nahi samajh
pata hai woh rota hai irfa
Aur jo samajh jata hai woh
bahot zyada rota hai
Woh mahnat kash bahadur
kisaan mazdur sachcha hai
Usko na sata
Woh gareeb bad naseeb
maa ka majbur bachcha hai
Zindagi sab ki ek si nahi hoti
Kismat bhi alag alag hoti hai
Kyun ki waqt ek sa nahi rahta
Waqt achcha bura hoto rahta hai
Your voice belongs here.
Share a thought, a poem or a story with the community.
Start writing ↗