fasle aise bhi honge ye kabhi socha na tha
samne baiTha tha mere aur wo mera na tha
wo ki KHushbu ki tarah phaila tha mere chaar-su
main use mahsus kar sakta tha chhu sakta na tha
raat bhar pichhli si aahaT kan mein aati rahi
jhank kar dekha gali mein koi bhi aaya na tha
main teri surat liye sare zamane mein phira
sari duniya mein magar koi tere jaisa na tha
aaj milne ki KHushi mein sirf main jaga nahin
teri aankhon se bhi lagta hai ki tu soya na tha
ye sabhi viraniyan us ke juda hone se thin
aankh dhundlai hui thi shahr dhundlaya na tha
sainkaDon tufan lafzon mein dabe the zer-e-lab
ek patthar tha KHamoshi ka ki jo haTta na tha
yaad kar ke aur bhi taklif hoti thi 'adim'
bhul jaane ke siwa ab koi bhi chaara na tha
maslahat ne ajnabi hum ko banaya tha 'adim'
warna kab ek dusre ko hum ne pahchana na tha
Writer’s notebook
Share your writing ↗The writing of Sad Shayari
Thoughts, feelings and moments shared with the community.
wo to KHush-bu hai hawaon mein bikhar jaega
masala phul ka hai phul kidhar jaega
hum to samjhe the ki ek zaKHm hai bhar jaega
kya KHabar thi ki rag-e-jaan mein utar jaega
wo hawaon ki tarah KHana-ba-jaan phirta hai
ek jhonka hai jo aaega guzar jaega
wo jab aaega to phir us ki rifaqat ke liye
mausam-e-gul mere aangan mein Thahar jaega
aaKHirash wo bhi kahin ret pe baiThi hogi
tera ye pyar bhi dariya hai utar jaega
mujh ko tahzib ke barzaKH ka banaya waris
jurm ye bhi mere ajdad ke sar jaega
Is Se Pehlay Ki Be-wafa Ho Jaen
Kyun Na Ai Dost Ham Juda Ho जाएं
Aaj Ek Aur Baras Bit Gaya Us Ke Baghair
Jis Ke Hote Huye Hote The Zamane मेरे
Agar Tumhaari Ana Hi Ka Hai Sawal To Phir
Chalo Main Hath Barhata Hun Dosti Ke लिए
Aankh Se Dur Na Ho Dil Se Utar Jaega
Waqt Ka Kya Hai Guzarta Hai Guzar Jaega
Your voice belongs here.
Share a thought, a poem or a story with the community.
Start writing ↗