Zindagi ki har khwahish puri nahi hoti,
Sirf umid se har cheez hasil nahi hoti,
Sach hai dil ki lagi khabhi nahi bujhti,
Par gam se pehle khushi kabhi nahi milti.
Writer’s notebook
Share your writing ↗The writing of Dileep Kumar
Thoughts, feelings and moments shared with the community.
Her raah per ulajh liye zindagi se,
Kabhi jee liye to kabhi jhagad liye zindagi se,
Kabhi kisi ko paane ke liye lad liye
To kabhi khud ko mitane ke liye lad liye zindagi se.
Dil mein chahe jitni jeene ki umeed hoti hai,
Utni zindagi jeene mein takleef hoti hai,
Har baar toot ke harna hota hai zindagi ke aage
Shayed yhi zindagi jeene ki reet hoti hai.
Ankhen kabhi shabnami rehti hai,
To kabhi aankhon mein nami rehti hai,
Chahe zindagi ko kitna bhi Sawar le
Kahi na kahi to koi kami rehti hai.
Your voice belongs here.
Share a thought, a poem or a story with the community.
Start writing ↗