Allaah sabse bada hai (Ishwar God )
ye jhoot kisne ghada hai
Woh dekh Allaah ko maanne waala
nafraton ke kichad mein pada hai
Writer’s notebook
Share your writing ↗The writing of Fakeera the fakir badshah Saab
Thoughts, feelings and moments shared with the community.
wahan sab garib beghar anaath
aur besahara buzurgon ke liye
basera banadobandh kar ke sab mandir masjid
girjaghar gurudwar
Pahle allaah ke hone ka
saboot pesh kar aye baangi
phir allaah o akbar allaah o akbar
ki baang de
Allah Allah kar ke tamaam
umr guzar gayi
Na Allah madad ko aaya kabhi
na kabhi allah ke hone ka ahsaas hua
mere andar ka ek adami hamesha
mere aas paas hua
kuch to baat hongi na mujhe mein
jo main yahaan tak pahonch gaya
na kabil hota gar to bich raaste
mein hi dher ho gaya hota
Zameen o aasmaan hai tere
tu jitna chal sakta hai utna chal
tu jitna udh sakta hai utna udh
logon ko logon se juda aur tu
bhi logon se jud tu chal tu udh
Aye khuda baithe bithaye ye
haadsaa kaise ho gaya
Woh dhurt paapi zalim pakhandi
badshah kaise ho gaya
Insaan tu insaan ban
Insaaniyat ka nigebaan ban
Dharm mazhab ke bhedbhaav
mein mat tu haiwaan ban
म
Duniya ka sab se anpad
gawar aur jaahil insaan woh hai
jo ye maanta hai ke koi kitaab
aasmaan se utar sakti hai
aasmaan se sir paani aata hai
aur paani aata rahe isi mein
insaan ka bhala hai
Main to bas upar se hi zinda nazar
aa raha hoon
Andar se to main kab ka mar chuka hoon
Sharaab angur ki beti
sharaab angur ka ras hai
sharaab par aye saki
kis ka bas hai
Jaise namaazi ke liye
masjid ka martaba
Waise hi sharaabi ke liye
maikada mukaddas hai
Karne wazu sharaab se
aaya hoon maikadey
paar karni hai aaj nashe mein
ibadat ki sab haddey
Kuch musalma mujh musalma ko
Kaafir kahte hai
Aur kaafir mujhe Tanz se musalma
Kahte hai
Mujhe to ab dono hi labz gaali lagne
lage hai
Ek zindagi ko kandhe par uthakar
Ek zindagi ki raah par chal raha hoon
Badalta waqt mujh ko badalta hai
Aur log kahte hai main badal raha hoon
Your voice belongs here.
Share a thought, a poem or a story with the community.
Start writing ↗