Tujhe khush rakh saku
ye mere bas ki baat nahi
Teri chaukhat par to main
apni khushi ke liye aata hoon
Writer’s notebook
Share your writing ↗The writing of Fakeera the fakir badshah Saab
Thoughts, feelings and moments shared with the community.
Jo muqaddar mein likha
hota hai wohi hota hai
Sukh dukh paap ya punya
ka bhog nahi hai
Hum ne paapiyon ko shaan
se jeete dekha hai aur punya
atmaon ko tadap tadap ke
jeete aur marte dekha hai
Woh apki mohabbat
ne zinda rakha hai
Warna zindagi se to
kab ka dil uth chuka hai
Mohabbat dilo ka khel hai
Dekh na kahi dil na toote
Kas ke pakad na haath
kahin haath na chhoote
Dekh kahin teri
zindagi na guzar jaye
Intezaar ki umr badi
lambi hoti hai
Subha hote hi nikal ta hoon
zindagi ki talash mein
Zindagi saath hi hoti hai
magar ussey mulaqat nahi hoti hai
Subha to roz aati hai
Suraj bhi roz nikal ta hai
Par gareeb ki zindagi ka
Din nahi badal ta hai
Zindagi dukh sukh
ka taana baana hai
Pal ki khabar nahi par
mahel to bana na hai
Har marz ka ilaaz
alag hota hai
Par har nafrat ka
ilaaz mohabbat hai
Shikwa shikayat na kar
jaa jaakar kalai marod
Itna hi usme gurur hai to
jaa kar uska ghamand tod
Bhool jaa sab
woh kaha suni
jaa aur jaa kar
gale laga le yaar ko
Itni talash na
karo kisI ki
Ke khud tumhari
Hi pahchan kho jaye
Andhere se laut aaja roshni mein
Woh phir aayi hai zindagi mein
Ye tanhai ye akelapan
dans ne lage hai
ab jeena mushkil hai
mohabbat ki tashnagi mein
Tu phir laut aaja zindagi mein
Jab tak dharm mazhab
religion ke saanp insaaniyat
ko danste rahege
Tab tak insaanon ke gale
mein tabai barbadi ke
phande kaste rahege
Your voice belongs here.
Share a thought, a poem or a story with the community.
Start writing ↗