Pyaar ki dhoka dhadi
awaara na bana de kahin
Tumhari ye khush mijazi
tumhe maskara na ban de kahin
Writer’s notebook
Share your writing ↗The writing of Fakeera the fakir badshah Saab
Thoughts, feelings and moments shared with the community.
Band hi kar do unhe
tum bhi dekh na
Joh tumhe dekh kar
nazre pher lete hai
Iss chaabaaz duniya mein
nadaan hi bane rahna
Hoshyaari ka anjaam
bura hota hai
Joh hansata hai mehfil
mein sab ko wohi aksar
tanhaai mein baith ke rota hai
Band kardo tum
unhe awaaz dena
Joh tumhari awaaz
sunkar bhi anjaan bante hai
Bandh karlo tumhari
ye madh mast ankhen
Warna koi tumhari iin
nigahon ke samandar
mein doob jayega
Aye meri jaan e hayat
main tujh se oob raha hoon
Aye zindagi main khayaalon
ke toofan mein doob raha hoon
Nazdikiyon se rishton mein
duriya aa gayi hai
Iss sard o suhane mausam
mein bhi talkhiyan aa gayi hai
Lakh ibadat kar le par
maa ki seva nahi ki toh
Khuda ko khush karne
layak koi kaam nahi kya
Maa ki dua uske sab
bachchon ke saath hoti hai
Par uske sab bachche
khush naseeb nahi hote
koi bad naseeb bhi hota hai
Maa ki kadar nahi jisko
woh bad naseeb hota hai
Khud apni hi zindagi ka dushman
khud apna hi raqeeb hota hai
Aaj maa nahi bas
maa ki yaad hai
Wohi meri manzil thi
wohi meri buniyaad hai
Zindagi apni marzi
se nahi chalti hai
Tu zindagi ki marzi
se chal na sikh le
Main apni marzi ka
kuch nahi karta tha
Jab Maa thi tab main
maa ki hi sunta tha
Khuda khud hum se
kabhi kabhi razaa mangta hai
Duniya par rob jamane ke liye
hum se hamari adaa mangta hai
Praishchit toh woh
kare jisne khuda ke
naam se dhoka diya ho
Hum ne toh khud
khuda se hi dhoka
khaya hai
Your voice belongs here.
Share a thought, a poem or a story with the community.
Start writing ↗