Aage ki taraf lambi
chalang lagane ke liye
Thoda piche ki taraf
jana padta hai
Writer’s notebook
Share your writing ↗The writing of Fakeera the fakir badshah Saab
Thoughts, feelings and moments shared with the community.
Zindagi mein itne dhoke khaye hai mohabbat ki raah mein
Ke ab to kaagaz par bhi mohabbat
likh ne ko dar lagta hai
Joh aaj tumari zindagi hai
kal jab wohi log nahi rahenge
Toh iss zindagi ka kya karoge
Kisi tanhai mein ro ro kar
kya zindagi zindagi kheloge
Din raat allaah allaah
karte ho Allaah kaun hai
kya hai mahez ek lafz ke
ek shabd ke siwa uski koi
alamat ho to batao to zara
Usne baaton ke siwa kya diya
hai duniya ko koi niyamat ho
to batao to zara
Ye sab jo bhi kuch hai
Allaah ke Lakhon karodon saal
pahle ka hai
Uss waqt ka allaah likha hua
koi Kagaz koi nishaan
ho to batao to zara
Tum sab dharm mazhab
religion ke thekedaron jhoot
ke pulindo insaaniyat ke katilon
Fakir Badshah Saab aa gaye hai
apni khair khairiyat chahte ho
to chup chaap yahaan se
nikal jaao to zara
Aur haan jaate waqt apne
sab farzi khudaon ko bhi
apne saath le jaao to zara
Kabhi rangin kabhi gamgin
kabhi sangin hai
Waqt ko samajh na mushkil
hi nahi na mumkin hai
Guzar ta waqt aksar
sabak sikha ta jata hai
Woh bhi waqt hi bata ta hai
Kaun kitna sikhta hai
kaun kitna samajh pata hai
Tajurba itna toh haasil
hai zindagi ka
Ke waqt kharab ho toh
saath nahi milta kisi ka
Akhir ek din sar patak
patak kar marega
Murda dili ka zamana hai
Jinda dil bankar kya karega
Unse mohabbat ke bad
mohabaat ka nazariya
hi badle gaya
Dil mein mohabbat ka jo
dariya tha woh dariya
hi utar gaya
Waqeef bhi tha main
uske ravaiyye se
Par mohabbat ne
gaafeel kar diya tha
Jab nahi koi mabud
siwa tere
Phir butto se itna
ghabrata kyun hai
Khud ka hi jab koi
thikana nahi to
jagirdaari hoshiyaari
dikha kyun hai
Jitni buraiyan dhundo ge
kisi mein usme utni hi
buraiyan nazar aaye gi
Kabhi apne andar bhi jhank
kar dekho shayad khud ko
bhi khud se sharam aaye gi
Hamaare bharose aitbaar
ko zinda jala diya
Pahle mitha mitha khilaya
phir kadwa pila diya
Ishq duniya ki nazar
se chupa kar hota hai
toh meetha lagta hai
Duniya ki nazar mein
aate hi kadwa ho jata hai
Saadagi se dil ko
saaf kar de
Kisi se kisi baat ka
badla na le maaf karde
Your voice belongs here.
Share a thought, a poem or a story with the community.
Start writing ↗