Arey ye sab bakwaas hai
Adami ek chota sa ghans hai
Waqt ke paiye ke niche aakar
Kabhi bhi kuchla ja sakta hai
Writer’s notebook
Share your writing ↗The writing of Fakeera the fakir badshah Saab
Thoughts, feelings and moments shared with the community.
Yaa allaah maine apne dil ka darwaza khol diya totu mere dil aakar baith gaya
Udhar Namaazi tujh ko dhundte dhundte masjid jakar baith gaya
Dukh taklif mein bulta hoon to pith dikhata hai
Awaaz dekar bulata hoon to samne nay aata hai
Masjid mein bulakar mera sar jhukata hai
Mujhse sajda karwata hai
Aur main tujhe phone karta hoon to mera phone nahi uthaya hai
Apni kitaabon mein sab jhoot jhoot bata hai
Phir kahta hai ke bhalai ke liye jhoot bhi bola ja sakta hai
Aye koran tere aayat dil ko chhu ke guzar jati hai kyun ke teri baat kisi ke samajh mein nahi aati hai
Ek Shayar ki shayari Dil mein utar jati kyun ke woh zindagi ke haalaat batati hai
Shayari mein sab chalta hai
Gadha bhi ghode ki chaal chalta hai
Kuch khas nahi hai
ghoda hai ghas nahi hai
Tu paas nahi hai
tere aneki aas nahi hai
Phir bhi dil udaas nahi hai
kyunki koi tamanna koi arzu
koi pyaas nahi hai
main kaha hoon
kya kar raha hoon
mujhe iss baat ka
apne haal ka
bhi ahsaas nahi hai
Paise ko par hai udte idhar udhar hai
Pinjra jidhar hai tikkar rahte udhar
Yun achanak mera dil toot kyun gaya
Kahin koi mera apna mujh se rooth to nahi gaya
Kuch samajh mein nahi aa raha tha
Zindagi raah se bhatka rahi thi
Shayad iss liye ke
maut sar par mandra rahi thi
Tere jaisi meethaa kisi ras mein nahi
Tujhe bhula doon ye mere bas mein nahi
Ya khuda agar main tujhe gaali bhi deta hoon dil se deta hoon
Issi bahane tujhe pukarta to rahta hoon
Zuban par allaah allaah pukarta hai
Aur dil mein paisa paisa chillata hai
Pagal ho gaya hoon main
hairan ho gaya hoon main
Aye khuda tere naam se
pareshan ho gaya hoon main
Your voice belongs here.
Share a thought, a poem or a story with the community.
Start writing ↗