Mar kar jism se jab meri rooh mujhse roothi thi
Jitni bhi kitaabey padi thi sab jhoothi thi
Writer’s notebook
Share your writing ↗The writing of Fakeera the fakir badshah Saab
Thoughts, feelings and moments shared with the community.
Adami agar mar bhi jaye toh
Zindagi ka Safar kabhi rukta nahi
Zindagi ka carvaan chalta hi rahta hai
Woh maut ke aagey kabhi jhookta nahi
आदमी अगर मर भी जाए तो
ज़िंदगी का सफर रुकता नहीं
ज़िंदगी का कारवां चलता ही रहता है
वोह मौत के आगे कभी झुकता नहीं
Woh jashn manati hai sapne sajati hai
Zindagi shor machati hai
Aur maut dabe paanv khamoshi se chup chaap chali aati hai
Maut ke panje se zindagi ko chuda ni ki koshish
Arey murkh maut to niyamat hai woh tujhe zindag ke panje se chudaye gi
Waqt ka kaam hai piche nahi mudna
Aur yaadon ka kaam hai picha nahi chhodna
Mere marne ke baad meri laash ko gatar mein phenk dena
Adami bhi janwar hai itna samajh lena
Main apne armaanon ko sine mein dabakar nahi rakhta
Kar deta hoon woh jo mere dil mein aata hai
Main apne armaanon ko sine mein dabakar nahi rakhta
Kar deta hoon woh jo mere dil mein aata hai
Bahot pyar mohabbat se rahte hai hindu musalman ka aafas mein kya bair hai
Arey ye toh dharm mazhab ke thekedar aur Raj netaon ka hawa mein failaya hua zaher hai
Mujhe kisi ke saath ki zarurat nahi
Main tanha tha main tanha hoon main tanha hi rahunga
Jitne bhi harf hai sab se jyada asar alif mein hai
Yaa allaah tera naam lenewala har banda taqlif mein hai
Tanhai se mat ghabrana
khud ko akela mat samajh na
YAA ALLAAH main tere saath hoon
Teri aayatey tere shloke sunne mein achche lagte hai
Magar tasir yane ki asar dono mein ek paise ka bhi nahi hai
Arey tu bimar ki taqlif ko nahi samajhta hai
Bimari kuch aur hai aur ilaaj tu kuch aur bimari ka karta hai
Your voice belongs here.
Share a thought, a poem or a story with the community.
Start writing ↗