Ussey pata hi nahi hai
Ke chhup chhup kar
Koi uss se
kitna pyaar karta hai
Writer’s notebook
Share your writing ↗The writing of Fakeera the fakir badshah Saab
Thoughts, feelings and moments shared with the community.
Woh dil ki
ek baat batane ke liye
Mera dil aaj bhi
Tera intezar karta hai
Tujhe jo bhi mile
meri tarha pyaar
karnewalla hi mile
Par tere baad mujhe
koi tere jaisa na mile
Mera dil bas ab yehi
duaa yaar karta hai
Ye mohabbat hai
ya bharam hai kya hai
Main jahaan bhi dekhta hoon
Mujhe tera chahra nazar aata hai
Kareeb jana hai to baat karni padegi
Pyaar jatana padega
Yun dur rahne se aur khamoshi se
Faasley aur badhege
Aye mere yaar
Aye mere jaan ke raqeeb
Meri barbadi ki khatir
Tu ne azmaai kaisi kaisi tarqeeb
Kya saadgi hai
kya masumiyat hai
Issey banaaye rakhiye
janaab
Aaj kal iss ki badi killat hai
Aap ne jitna pyaar diya
Hame wohi kafi hai
Hum par woh bhi ek aap ka
Bohot bada ahsaan hi to hai
Koi andar hi andar
Toot kar bikhar jata hai
Par logo ke liye
Upar hi upar se muskurata hai
Kya zameer hai
Kya hai imaan dharam
Sab adami fitur hai
Sab hai adami ka bharam
Dil bhi kuch iss tarha se toota
Ke phir jud na saka
Jaise sukha hua phool
Phir khil na saka
Woh samajhte hai
Ke woh humko samajhte hai
Hum samajhte hai ke hum ko
To hum bhi nahi samajh paye
Phir woh hum ko kahaan se samjhege
Ek arsey se hum
unke muntazir rahe
Jab ke hamare bhi
kayin muntazar the
Bas saans chal rahi hai aise
Main mara bhi nahi hoon aur
main zinda bhi nahi hoon jaise
Ahsaas hi agar mar Jaye
Toh phir kya nazdikiyan
Aur kya duriyaan
Your voice belongs here.
Share a thought, a poem or a story with the community.
Start writing ↗