Kya jane kab
kiski baari aa jaye
Kab kiske ghar
maut ki savari aa jaaye
Writer’s notebook
Share your writing ↗The writing of Fakeera the fakir badshah Saab
Thoughts, feelings and moments shared with the community.
Iss mausam maut ki
barishey ho rahi hai
Lo aaj savere savere
maut ki ek aur kabar aagayi
21/01/2021
FAKEERA THE FAKIR BADSHAH SAAB
Tum mujhe bhool jaoge
ye pata hone ke bawajud bhi
maine tum par aitbaar kiya
Muddate guzari maine
tumhara intezar kiya
Bas pyaar kiya pyaar kiya
Humse rabta
kayam rakho
Hum bade
kaam ki chiz hai
Tum zara apna
nakab to utaro
Muddatein ho gayi
tumhara chehra dekhe hua
Kaise pata chalega
kaun apna hai kaun paraya hai
Jo bhi milta hai woh
Mukhauta laga kar milta hai
Adami bhi na jaane kis
Kism ka jaanwar hai
Insaanon ki tarha
kyun nahi rahta
Insaan agar hai
Jannat ki lalach mein
log gumraah ho gaye the
Auron ko bhi khadde mein
Gaadh diya aur khud bhi
Kabrgaah ho gaye the
Roz suraj nikal ta tha
Roz subha hoti thi
Par zindagi ki kabhi
Saher na hui
Sufiyon ke dhol nagadon ne
Islam ko jagaye rakha hai
warna Islam kab ka so gaya hota
Talwaaron ke zor par riyasatein
zyada waqt Hukumat nahi kar pati hai
Chhot jigar par khaakar bhi
chehre par muskurahat rakhte hai
Tum hume chaho ya na chaho
hum dil mein tumhari chahat rakhte hai
Dil chahe jalkar
khaak ho jaye
Zubaan se dhua
Nahi nikalna chahiye
Matlab uski aach bahar
Nahi aani chahiye
Apne andar bhi
bahot kala hai
Kyunki apna dil
bahot jalaa hai
Dil mein kitna hi
dard kyun na ho
Chehre par shikan
nahi ane dena
Warna duniya jeene
Nahi degi
Bahot Ghana aur hara bhara
pedh hai mohabbat ka
koi chhota sa pauda nahi
Taqt o taaj ke aagey nahi jhukti
Nahi daulat ke aagey bikti hai
Ye mohabbat hai
dilon ka mazbut rishta
Mohabbat mein sauda nahi
Your voice belongs here.
Share a thought, a poem or a story with the community.
Start writing ↗