Allaah allaah kya karta hai
Allaah ki taqat nahi hai
ke kisi ko kuch de sake
woh channd log unki
kismat se tawangar hai
warna zyada tar to
muflis o pareshaan hai
FAKEERA THE FAKIR BADSHAH SAAB
Writer’s notebook
Share your writing ↗The writing of Fakeera the fakir badshah Saab
Thoughts, feelings and moments shared with the community.
Yadon ke jungle mein
kante khile hai
Dil ke paanv mein
Chhaale padhe hai
Tu jo rula kar mujhe
piche mudh gaya
Main bhi aansu poch kar
Aage badh gaya
Khuda ka shukar hai humne
Kabhi ibadat nahi ki
Humne hadh se zyada
ibadat karne walon ko bhi
haath failate hua dekha hai
Sab apni apni
raah par chal diye
Main jahaan baitha tha
wahin baitha hoon
Yahaan chahra
saaf suthra hona chahiye
Dil kitna bhi
maila kuchla ho chal jata hai
Itni badmashiyan kar ke bhi
Main badnaseeb
badnaam na ho saka
Badnaam na ho saka iss liye
Mera naam na ho saka
Zindagi ka koi
aitbar nahi
Zindagi kisi se
wafadar nahi
Maut ka yakeen hota hai
Par zindagi par bharosa nahi hota
Woh Jo asal hai
Woh to koi aur hi hai
Tu jiski ibadat karta hai
Woh to sab saaf nakli hai
Manaane mein jinko zamane lage hai
Wohi aaj rooth ke jaane lage hai
Ibadat bhi ek nasha hai
Zyada na kar
Nahi toh
Kattar ho jayega
Koi gareeb mazlum
Koi zalim tanaashaa
Dekha nahi jata ab
Aye duniya
tera ye tamaashaa
Kahin kahin ranjishey
Itni badh jati hai
Bhai Bhai se nazar
Nahi milata hai
Tanhai swikaar kar le
Khamoshi ikhtiyaar kar le
Unke aane ka intezaar na kar
Unki yaadon se pyaar kar le
Your voice belongs here.
Share a thought, a poem or a story with the community.
Start writing ↗