Tanhai swikaar kar le
Khamoshi ikhtiyaar kar le
Unke aane ka intezaar na kar
Unki yaadon se pyaar kar le
Writer’s notebook
Share your writing ↗The writing of Fakeera the fakir badshah Saab
Thoughts, feelings and moments shared with the community.
Sab pahle se likha
Hota hai
Par adami ko ahista
ahista nazar aataa hai
Na tune dhoka diya
Na maine dhoka diya
Samay dhoka deta hai
Samay ne dhoka diya
Main akele kuch
Kar sakun
Main kahan itna kabil tha
Mere har gunaah mein
tu bhi mere saath shamil tha
Tu khamakha kyun
Ghabrata hai
Woh mulla ko toh adat hai
Woh sab ko khuda ke
khauff se darata hai
Na jaane
ye kaisi pyaas hai
Ye kaisi tishnagi hai
Kis pyaas mein
kiski pyaas mein
Pyaasi pyaasi si
ye zindagi hai
Tu phir
iss janam mein mila hai
Na jane
ye kab ka silsila hai
Gurur na kar khud par
Tere yahaan tak aane mein
Bahot logon ka karz hai tujh par
Zindagi auron ke liye
Jeena sikhon
Ek din unke hi kandhon
Par jaana hai
Apne apnon ke liye
Tu bhi ahem hai
Tu zarra a khaak hai
Ye uska wahem hai
Ye zamin aasmaan sab
Jab usi ka hai
To jab yahaan nahi dare
To wahaan bhi nahi darege
Hijr ek pal bhi araam nahi deta hai
Judaai mein waqt guzar ne ka
naam nahi leta hai
Duniya itni zalim hogi pata nahi tha
Main bachcha tha anjaan hi toh tha
Bachpan mein main nadan hi toh tha
Mungi makkhi machchar ka bhi
Wajud hai duniya mein
Baap apne bachchon ko dikhata hai
Ke dekhon bachchon ye hai mungi
makkhi machchar
Magar ishwar allaah god kahaan se dikhayega unka jab koi wajud
koi astitva hi nahi hai
Woh toh bas sirf naam hi ke hai
Woh bigad gayi
Toh bigad ti hi gayi
Zindagi aise hi
Guzar ti gayi
Your voice belongs here.
Share a thought, a poem or a story with the community.
Start writing ↗