Duniya ko chhodte waqt
jo dard hota hoga
Uss dard ko bas
wohi samajh sakta hoga
Jo maut ke karib hota hoga
Writer’s notebook
Share your writing ↗The writing of Fakeera the fakir badshah Saab
Thoughts, feelings and moments shared with the community.
Main ek banjaara hoon
Main badal awaara hoon
Main bhi kisi ke dil ka tukda
Main bhi kisi ki aankh ka tara hoon
Ab to aaina bhi
jhoot bolta hai
Zaher ko amrit
Amrit ko zaher bolta hai
Kis kaam ki woh bandagi
Jab mari mari phirey zindagi
Ussey toh achchi deewangi
Ussey toh achchi awaargi
Main paida hi hua hoon iss duniya ko patthar marne ke liye
Main pagal tha main paagal hoon main paagal hi rahugaa
Mere zakhmon ka ilaaj nahi kisi hakim kisi vaidh ke paas
Main zakhmi tha main zakhmi hoon main zakhmi hi rahoogae
Main zindagi ki gadar se nahi haara
Main haara toh teri buri nazar se haara
Itni taaqat hoti hai kisi ki buri nazar mein
Ke adami ko lejakar sula deti hai kabar mein
Na main mandir mein jata hoon na masjid mein jata hoon
Khuda khud mere ghar mujhse milne aata hai
Insaan se zyada patthar ka mol ho gaya
Adami ne bhagwaan ko banaya aur bhawaan anmol ho gaya
umar bhar banjaaron ki tarha bhatakta rahuga
Tere dil mein dhadkan ki tarah dhadakta rahuga
Meri zindagi mein agar kuch hai to sirf tanhaaiyan hai
Meri parchaiyon ke piche bhi pareshaniyan hai
Asli fakir ban gaya duniya ka tamasha dekhne
Main khud tamasha ban gaya duniya ka
tamasha dekh kar
Dilon dimag ko katti hai zaban tez aari hoti hai
Woh kya jaane khamoshi ki zaban sab se pyaari hoti hai
Tere paas taaqat hai
Tu banduk tankar khada hai
Mere paas hausla hai
Main sina taan kar khada hoon
Your voice belongs here.
Share a thought, a poem or a story with the community.
Start writing ↗