Tu intezaar karne ki aadat daal de
Unhe vaada karke bhul jane ka shauk hai
Writer’s notebook
Share your writing ↗The writing of Fakeera the fakir badshah Saab
Thoughts, feelings and moments shared with the community.
Unke dil ke kayin shauk hai
Tujhe tadpana bhi unka ek
Bahot bada shauk hai
Woh tujhe rulane ke bade
Hi shaukin hai
Unke dil ke kayin shauk hai
Tujhe tadpana bhi
unke shauk mein shaamil hai
Unke dil ke kayin shauk hai
Tujhe tadpana bhi
unke shauk mein shaamil hai
तू इंतज़ार करने की आदत डाल दे
उन्हें वादा करके भूल जाने का शौक है
Ye jag ek maya jaal hai
Har din ek naya din hai
Har din ek naya bawaal hai
Har ek guzar te lamhe ke saath
Guzra hua waqt yaad aata hai
Tujh se bichad ne ka
jo ahsaas hota hai
Woh ahsaas
bada khaas hota hai
Main zinda hoon aise
Jaise mara hoon
Yaadon mein dooba hoon
Yaadon mein ghira hoon
Mat yaad dila
uss guzare zamane ki
Unn bichde logo ki
Uss dil dewaane ki
Uss mausam suhane ki
Ye yaad wajah na ban jaye
Kahin maut ke aane ki
Manzil pe agar
paochunga mere dost
Toh sab
bichde yaar milege
Mazil pe agar
paochunga mere dost
Toh sab
bichde yaar milege
Dushman se doh doh haath
kar ke aayaa hoon
Main haar ke aayaa hoon
toh kya hua main ladke aayaa hoon
Jab koi chiz gandi ho jaati hai
Toh ussey paani se saaf kiya jaata hai
Magar jab paani ganda ho jaata hai
Toh ussey phek diya jaata hai
Jaise mutthi se
rett phisalti jati hai
Ek ek guzar te din ke saath
Umr ghat ti jati hai
Your voice belongs here.
Share a thought, a poem or a story with the community.
Start writing ↗