Hum kahaan khuda ko
yaad karte baithe
Hum to wo hai jise
khuda khud yaad
karta rahta hai
Writer’s notebook
Share your writing ↗The writing of Fakeera the fakir badshah Saab
Thoughts, feelings and moments shared with the community.
Naam mein hi toh
sab kuch rakha hai
naam se hi toh
adami ki pahchan hai
Woh jhoot kahta hai
joh ye kahta hai ke
naam mein kya rakha hai
Zindagi gar tere
saath guzari hoti
Toh woh zindagi
bhi kya zindagi hoti
Dhoke baazon ne uss
malik ke na jane kitne
alag alag naam rakh diye
Kal woh malik mujh se uska
apna sahi naam puch raha tha
Aaj achanak mujhe apna
naam yaad aa gaya
Ab tak na jane mein kitne
naamon ke saath Jee raha tha
Bandagi ya parastish se
fayada to sirf pandit
mulla padri ko hi hota hai
( pagaar) ke rup mein
Baki zarurat se zyada ibadat
karna aam adami ke liye
waqt ki barbaadi hi hai
nuksaan hi hai
nafrat badti hai dusre
dharm mazhab religion
ke logo ke prati
Hum jab bhi masjid
ki taraf jate hai
namaaz padhne ke liye
Ek farishta akar humara
rasta rok deta hai
Kahta hai allaah ke
hukm se aap ka
andar jaana mana hai
Kyunki app aise aise
sawaal puchte hai
jiska allaah ke paas
jawaab nahi hota
Aap maherbani kar ke
koi dusri jaga khud
banaye apni ibadat ke liye
Ye masjide nadaanon
aur murkhon ke liye
banai hai
yahaan mulla se tak
sawaal puchna mana hai
Aur aap hazrat sidhe
allaah se sawaal puchte ho
Aap ke aane se allaah ko
sidhe masjid chhodkar
jana padhta hai
Jo waqt guzara tumhare
saath woh waqt kamaal ka tha
Hum par jadu sa tumhare
husno zamaal ka tha
Kya sar jhukata hai
uss khuda ke aagey
Jo khuda khud dhanwaanon
ke aagey nath mastak hai
Dil ka shaher kabhi
viran hu karta tha
Tum aaye zindagi mein
aur gulzaar ho gaya
Main akela hi tanhaiyon
mein ji raha tha
Log aate gaye aur
bastiyan basti gayi
Ud ud kar kitna
udega aye adami
Teri udaan bhi to
ek hadh mein hai
Chalte chalte kabhi bhi
kahin bhi ruk jati hai
Zindagi bhi to
maut ki zadh mein hai
Adami bura nahi hai
Waqt hota hai achcha bura
Main kise kyun bura samju
Main hi toh hoon sabse bura
Safar zindagi ka
tanha tanha hai
Chaaron taraf
mela hi mela hai
Itni sari bheed
mein bhi insaan
Akela Akela hai
Teri talaash karte karte
main thak haar gaya
Tujh par aitbaar karna
mujhe jeete ji maar gaya
Your voice belongs here.
Share a thought, a poem or a story with the community.
Start writing ↗