Mohabbat koi hamse sikhe
Hum kabhi ek jaga tikkar nahi rahe
Jissey jitna ras pineko mila utna pi liya
Kabhi kisi se koi shikayat nahi ki
Writer’s notebook
Share your writing ↗The writing of Fakeera the fakir badshah Saab
Thoughts, feelings and moments shared with the community.
Dil ki kitaab ke har ek panne par
bas ek tera hi naam likha hai
Kayin chehre hai hamare ird gird
Par hamara dhyan tere hi chehre
Par ruka hai
Ye sab main tujh se nahi
Apne aap se kah raha hoon
Apne dil ko samjha na har
Adami ka khud ka kartavya hai
Sawaal jawaab mein
zindagi ko na uljhana
tu mauj masti maze kar
Maut ka kaam hai
Zindagi ke sab maslon
Ko suljha na
Sawaal ye hai ke
Kya zindagi haseen hai
Jawaab kayin hai magar
Ek ye jawaab sunlo
Zindagi tab tak haseen hai
Jab tak adami shaukin hai
Jo waqt tere saath
bitaya tha
Uska ek ek lamha
bahtrin tha
Tere bina jo
waqt guzar raha hai
Uska ek ek pal
sakht aur sangin hai
Jahaan sab nange hai
wahaan tu kapde pahan
kar kya kar raha hai
Kya tujhe zara si bhi
Sharm nahi ati hai
BESHARM
Insaan banne ke liye koi
namaaz nahi padta hai
mohammad
Woh toh jannat ki lalach
mein sab masjid ki tarf
Daudte rahte hai
Tu ishq kar ishq mein doob jaa
Ishq bhi ibaadat hi hai
Mohammad
Namaaz padh ne walle
namaaz padh rahe hai
Sirf ibaadat ki bandagi ki
toh kya kiya duniya mein
Gar ishq nahi kiya duniya
mein to kuch nahi kiya
Jab ishq kiya to
darna kaisa
Aag ka dariya
pi kar uss par utrenge
Ishq nahi tha tab
hum bhi Nikamme hi they
Ishq hote hi mohammad
hum bhi adami kaam ke ho gaye
Ishq ne mohammad
insaan bana diya
Warna hum bhi adami
Adami Nikamme hi the
Ishq ne adami ko
insaan bana diya
Warna namaaz ne toh
Mohammad
Nikamma kar diya tha
Dil ki baat kise sunaye yaaron
Yahaan koi sunneywala nahi
Teri raahon ke kante
khud tujhe hi chunne hoge
koi aur chunnewala nahi
Your voice belongs here.
Share a thought, a poem or a story with the community.
Start writing ↗