Kaun jagega kise jaga rahe ho
Koi soya hoga to jagega na
Yahaan sab mar chuke hai
Yahaan sab murda dil hai
Writer’s notebook
Share your writing ↗The writing of Fakeera the fakir badshah Saab
Thoughts, feelings and moments shared with the community.
Tum hamare dil mein
makaam kar lo
Hum tumhare dil
mein padaav karte hai
Dono mil kar saath
manzil ki talash karte hai
Waqt badlte hi
nazre badal jate hai
Daulat ka khel hai
Nazaare badal jate hai
Waise to har aurat
khubsurat hoti hai
Chahe thodi kam
thodi zyada khubsurat ho
Par puri imaandar
honi chahiye
Zindagi chahe thodi aisi
thodi waisi ho
Par maut badi
shaandar honi chahiye
Koi mushrik ho
ya kafir ho kisi ko
issey kya matlab
Har koi apne apne
girebaan mein jhank
kar kyun nahi dekhta
Ke kitna andhera hai dil mein
Makin tera ji iss liye
ghabra raha hai makan mein
Ke tu dilo dimaag ke khidki
darwaaze bandh kar ke bhaitha hua hai
Munafikat itni badhi hai
shaher o shaher mein
Adami saans le raha hai
fiza a zaher mein
मुनाफ़िक़ो ने इंतेहा
कर रखी है
सच्चाई के चहरे पर
सियाही पोत कर
झूठों के सर पर
ताज पहना रखा है
Na kabhi sharaab pi
na kabhi nasha kiya
Teri nigahon se jo pi thi kabhi
bas ussi se kaam chal raha hai
Hua karti thi kabhi
mohabbat kisi se
Par ab woh jazba
Woh hausla nahi raha
Sharab pini chhod di
Mohammad
Aur kafiron ke
Khoon ke pyaase ho gaye
Uska kaisa swabhav hai
kya chakkar hai
Ye sab soch kar tu kyun
ho ta hai sangin
Jitna pyaar milta hai
usko naseeb samajh
Chup chaap aam
khate rah guthli mat gin
Pyaar mein agar sukh pana
chahta hai toh ashiq nahi khiladi ban
Pyaar bharpur pana hai
to uske samne chalak nahi anadi ban
Pyaar mein kabhi bhi
paini nazaar rakh na
Issey pahle mashuk dhoka
kar ne ki soche tu hi ussey chod dena
Pyaar mein dhoka dhadi
chalti rahti hai
Jab jiska dil bhar jata hai
Uthkar chala jata hai
Your voice belongs here.
Share a thought, a poem or a story with the community.
Start writing ↗