दिन हुआ है तो रात भी होगी,
हो मत उदास, कभी बात भी होगी,
इतने प्यार से दोस्ती की है,
जिन्दगी रही तो मुलाकात भी होगी..
Writer’s notebook
Share your writing ↗The writing of Munna Yadav
Thoughts, feelings and moments shared with the community.
बदलना आता नहीं हमे मौसम की तरह,
हर इक रुत में तेरा इंतज़ार करते हैं,
ना तुम समझ सकोगे जिसे क़यामत तक,
कसम तुम्हारी तुम्हे हम इतना प्यार करते हैं
न पूछो हालत मेरी रूसवाई के बाद,
मंजिल खो गयी है मेरी, जुदाई के बाद,
नजर को घेरती है हरपल घटा यादों की,
गुमनाम हो गया हूँ गम-ए-तन्हाई के बाद!!
Meri Aankho Me Mohabbat Ki Chamak Aaj Bhi Hai
Halaki Usko Mere Pyar Pe Shaq Aaj Bhi Hai
Naav Me Baith Ke Dhoye The Usne Haath Kabhi
Poore Talab Me Mehandi Ki Mehak Aaj Bhi Hai.
Bhamwar Me Hai Safeena Raat Ka Patwaar Chhooti Hai
Kinare Dard Ki Basti Ke Sahookaar Baithe Hai
Tumhare Khwab Me Aane Ki Hashrat Aaj Bhi Hai Par
Suna Hai Dwar Par Palkon Ke Pahredaar Baithe Hai
Kahin Par Jag Liye Tum Bin, Kahin Par So Liye Tum Bin
Bhari Mehfil Me Bhi Aksar, Akele Ho Liye Tum Bin
Ye Pichhle Chand Varshon Ki Kamayi Sath Hai Apne
Kabhi To Hans Liye Tum Bin, Kabhi To Ro Liye Tum Bin
Sada To Dhoop Ke Hatho Me Parcham Nahi Hota,
Khushi Ke Ghar Me Bhi Bolo Kabhi Kya Gam Nahi Hota?
Fakat Ek Aadmi Ke Waste Jag Chhodne Walo,
Fakat Uss Aadmi Se Yeh Zamana Kam Nahi Hota.
Koi Manzil Nahi Jachti, Safar Achcha Nahi Lagta…
Agar Ghar Laut Bhi Aaun To Ghar Achcha Nahi Lagta…
Karun Kuch Bhi Mai Ab Duniya Ko Sab Achcha Hi Lagta Hai,
Mujhe Kuch Bhi Tumhare Bin Magar Achcha Nahi Lagta.
Gireban Chaak Karna Kya Hai Seena Bahut Mushqil Hai
Har Ik Pal Muskura Kar Ashq Peena Aur Mushqil Hai
Humari Bad Naseebi Ne Humein Itna Sikhaya Hai
Kise Ke Ishq Mein Marne Se Jeena Aur Mushqil Hai
Badalne Ko To In Ankhon Ke Manzar Nahin Badle
Tumhari Yaad Ke Mausam Humare Gum Nahin Badle
Tum Agle Janam Mein Humse Milogi Tab To Manogi
Zamane Aur Sadi Ki Is Badal Mein Ham Nahin Badle
Main Jise Mudat Mein Kahta Tha Woh Pal Ki Baat Thi,
Aapko Bhi Yaad Hoga Aaj Kal Ki Baat Thi,
Roj Mela Jodte The Woh Samasya Ke Liye,
Aur Unki Jeb Mein Hi Band Hal Ki Baat Thi,
Nazar Mein Shokhiyan Lab Par Mohabbat Ka Fasaana Hai
Meri Ummeed Ki Zad Mein Abhi Saara Zamaana Hai
Kayi Jeete Hain Dil Ke Desh Par Maloom Hai Mujhko
Sikandar Hoon Mujhe Ik Roz Khaali Haath Jaana Hai
Phoolon mein , sitaron mein,
Yeh haseen aag lagade ,
Hum chahein to fitrat ka har ek zakhm sajade,
Yeh duniya badi nafrat se hume dekh rahi hai,
Aao, ise hum pyar ka andaaz batade.
Har aarzoo hamesha adhuri nahi hoti,
Sacche rishton mein kabhi doori nahi hoti,
Aur jis dil mein Sonam jaisi mehbooba basti ho,
Uske liye to dhadkan bhi jaroori hoti hai.
Jeene ke liye tera ek armaan hi kafi hai,
Dil ki kalam se likhi yeh dastan hi kafi hai,
Teero talwar ki tujhe kya jarurat hai haseena,
Katl karne ke liye teri muskan hi kafi hai.
Your voice belongs here.
Share a thought, a poem or a story with the community.
Start writing ↗