रूठा अगर तुझसे तो इस अंदाज से रूठूंगा,
तेरे शहर की मिट्टी भी मेरे बजूद को तरसेगी.
Writer’s notebook
Share your writing ↗The writing of Munna Yadav
Thoughts, feelings and moments shared with the community.
मेरे दिल से खेल तो रहे हो तुम पर जरा सम्भल के,
ये थोडा टूटा हुआ है कहीं तुम्हे ही लग ना जाए.
इरादा कत्ल का था तो ~मेरा सर कलम कर देते,
क्यू इश्क मे डाल कर तुने ~हर साँस पर मौत लिख दी.
Har Raat Ek Naam Yaad Aata Hai
Kabhi Subah Kabhi Sham Yaad Aata Hai
Jab Sochte Hai Ki Karle Dusri Mohabbat
Tab Pehli Mohabbat Ka Anjam Yaad Aata Hai.
Khushhali me ik badhali, mein bhi hun aur tu bhi hai.
har nigah par ik sawaali, mein bhi hun aur tu bhi hai.
duniya kitna arth lagaye, ham dono ko malum hai.
bhare-bhare par khali-khali, mein bhi hun aur tu bhi hai.
Is udan pr ab sarminda me bhi hu or tu bhi hai,
aasmaan se gira parinda me bhi hu or tu bhi hai,
chhoot gyi raste me jeene mrne ki saari kasme,
apne apne haal me jinda me bhi hu or tu bhi hai,
Koi khamosh hai itna bahane bhul aaya hu
kisi ki ek tarannum me tarane bhul aaya hu
meri ab raah mat takana kabhi ai aasma walo
me ek chidia ki aankho me udaane bhul aaya hu.
wo jiska teer chupke se jigar ke paar hota hai
wo koi gair kya apna hi ristedaar hota hai
kisi se apne dil ki baat tu kehna na bhule se
yaha khat bhi zara si der me akhbar hota hai.
khud se bhi mil na sako itne paas mat hona
ishq to karna magar devdas mat hona
dekhna, chahna, mangna ya kho dena...
ye saare khel hai inme udaas mat hona.
ye dil barbad karke, isme kyo aabad rehte ho
koi kal keh raha tha tum Allahabad rahte ho.
ye keise sohrate mujhe ataa kar di mere maula
me sab kuch bhool jata hu magar tum yaad rehte ho.
Hum ne to saza pai he teri dagai ki, Yaad aati he harpal teri bewafai ki, Badi beshami se gairo ka daman tune tham liya, Ye to bata ke mere pyar me burai kya thi..
Naa Ye Gul Naa Ye Gulistaan Hamaara Hain,
Jise Poojte The Naa Wo Farishta Hamaara Hain,
Chall Padhe Hai Jiss Manzil Ki Taraf Hum,
Naa Wo Manzil Naa Wo Raasta Hamaara Hain!
Raat Chup Hai Magar Chand Khamosh Nahi,
Kaise Kahoon Aaj Phir Hosh Nahin,
Is Tarah Dooba Hoon Teri Mohabbat Ki Gahrai Mein,
Hath Mein Jaam Hai Aur Peena Ka Hosh Nahin.
Karoge Yaad Ek Din Is Pyar Ke Zamane Ko
Chale Jayenge Jab Hum Kabhi Na Vapas Aane Ko
Chalega Mehfil Me Jab Zikr Hamara Koi
To Tum Bhi Tanhayi Dhundoge Aansu Bahane Ko
Badalne Wale Toh Har Cheez Badal Dete Hain
Kamaan Se Nikla Teer Badal Dete Hain
Tum Toh Mere Chaar Ansu Na Badal Sake
Badalne Wale Toh Taqdeer Badal Dete Hain
Your voice belongs here.
Share a thought, a poem or a story with the community.
Start writing ↗