Ham Wo Teer Hai Jo Himalaya Ko Cheer Kar
Apna Rasta Badal Sakte Hai,
Koi Saath Hamara De Ya Na,
Ham Akele Hi Duniya Hila Skate Hai.
Writer’s notebook
Share your writing ↗The writing of Munna Yadav
Thoughts, feelings and moments shared with the community.
बदलना आता नहीं हमे मौसम की तरह,
हर इक रुत में तेरा इंतज़ार करते हैं,
ना तुम समझ सकोगे जिसे क़यामत तक,
कसम तुम्हारी तुम्हे हम इतना प्यार करते हैं
न पूछो हालत मेरी रूसवाई के बाद,
मंजिल खो गयी है मेरी, जुदाई के बाद,
नजर को घेरती है हरपल घटा यादों की,
गुमनाम हो गया हूँ गम-ए-तन्हाई के बाद!!
Karoge Yaad Ek Din Is Pyar Ke Zamane Ko
Chale Jayenge Jab Hum Kabhi Na Vapas Aane Ko
Chalega Mehfil Me Jab Zikr Hamara Koi
To Tum Bhi Tanhayi Dhundoge Aansu Bahane Ko
Badalne Wale Toh Har Cheez Badal Dete Hain
Kamaan Se Nikla Teer Badal Dete Hain
Tum Toh Mere Chaar Ansu Na Badal Sake
Badalne Wale Toh Taqdeer Badal Dete Hain
Jab Jab Aapse Milne Ki Umeed Nazar Aayi
Mere Pairon Mein Zanjeer Nazar Aayi
Gir Pade Aansu Aankhon Se
Aur Har Aansu Mein Aapki Tasweer Nazar Aayi
Meri Aankho Me Mohabbat Ki Chamak Aaj Bhi Hai
Halaki Usko Mere Pyar Pe Shaq Aaj Bhi Hai
Naav Me Baith Ke Dhoye The Usne Haath Kabhi
Poore Talab Me Mehandi Ki Mehak Aaj Bhi Hai.
Bhamwar Me Hai Safeena Raat Ka Patwaar Chhooti Hai
Kinare Dard Ki Basti Ke Sahookaar Baithe Hai
Tumhare Khwab Me Aane Ki Hashrat Aaj Bhi Hai Par
Suna Hai Dwar Par Palkon Ke Pahredaar Baithe Hai
Kahin Par Jag Liye Tum Bin, Kahin Par So Liye Tum Bin
Bhari Mehfil Me Bhi Aksar, Akele Ho Liye Tum Bin
Ye Pichhle Chand Varshon Ki Kamayi Sath Hai Apne
Kabhi To Hans Liye Tum Bin, Kabhi To Ro Liye Tum Bin
Sada To Dhoop Ke Hatho Me Parcham Nahi Hota,
Khushi Ke Ghar Me Bhi Bolo Kabhi Kya Gam Nahi Hota?
Fakat Ek Aadmi Ke Waste Jag Chhodne Walo,
Fakat Uss Aadmi Se Yeh Zamana Kam Nahi Hota.
Koi Manzil Nahi Jachti, Safar Achcha Nahi Lagta…
Agar Ghar Laut Bhi Aaun To Ghar Achcha Nahi Lagta…
Karun Kuch Bhi Mai Ab Duniya Ko Sab Achcha Hi Lagta Hai,
Mujhe Kuch Bhi Tumhare Bin Magar Achcha Nahi Lagta.
Gireban Chaak Karna Kya Hai Seena Bahut Mushqil Hai
Har Ik Pal Muskura Kar Ashq Peena Aur Mushqil Hai
Humari Bad Naseebi Ne Humein Itna Sikhaya Hai
Kise Ke Ishq Mein Marne Se Jeena Aur Mushqil Hai
Badalne Ko To In Ankhon Ke Manzar Nahin Badle
Tumhari Yaad Ke Mausam Humare Gum Nahin Badle
Tum Agle Janam Mein Humse Milogi Tab To Manogi
Zamane Aur Sadi Ki Is Badal Mein Ham Nahin Badle
Main Jise Mudat Mein Kahta Tha Woh Pal Ki Baat Thi,
Aapko Bhi Yaad Hoga Aaj Kal Ki Baat Thi,
Roj Mela Jodte The Woh Samasya Ke Liye,
Aur Unki Jeb Mein Hi Band Hal Ki Baat Thi,
Nazar Mein Shokhiyan Lab Par Mohabbat Ka Fasaana Hai
Meri Ummeed Ki Zad Mein Abhi Saara Zamaana Hai
Kayi Jeete Hain Dil Ke Desh Par Maloom Hai Mujhko
Sikandar Hoon Mujhe Ik Roz Khaali Haath Jaana Hai
Your voice belongs here.
Share a thought, a poem or a story with the community.
Start writing ↗