Is udan pr ab sarminda me bhi hu or tu bhi hai, aasmaan se gira parinda me bhi hu or tu bhi hai, chhoot gyi raste me jeene mrne ki saari kasme, apne apne haal me jinda me bhi hu or tu bhi hai,
Koi khamosh hai itna bahane bhul aaya hu kisi ki ek tarannum me tarane bhul aaya hu meri ab raah mat takana kabhi ai aasma walo me ek chidia ki aankho me udaane bhul aaya hu.
wo jiska teer chupke se jigar ke paar hota hai wo koi gair kya apna hi ristedaar hota hai kisi se apne dil ki baat tu kehna na bhule se yaha khat bhi zara si der me akhbar hota hai.
mile har jakhm ko muskan ko sina nahi aaya amarta chahte the par Zehar pina nahi aaya tumhari aur meri dasta me fark itna hai mujhe marna nahi aaya tumhe jeena nahi aaya
jab aata he jeewan me khayalato ka hangama haasi baato ya jazbato mulakato ka hangama jawani ke kayamat daur me ye sochte hai sab ye hangame ki raate hai ya he raato ka hangama
Hamare sher sun kar ke jo khamosh itna hai khuda jaane gurur-e-husn me madhosh kitna hai kisi pyaale se pucha hai surahi ne sabab may ka jo khud behosh ho keise bataye hosh kitna hai..
khud se bhi mil na sako itne paas mat hona ishq to karna magar devdas mat hona dekhna, chahna, mangna ya kho dena... ye saare khel hai inme udaas mat hona.
pukare aankh me chadkar to khoo ko khoo samajhta hai andhera kisko kehta he ye bas jugnu samajhta hai hame to chaand taaro me tera hi roop dikhta hai mohabbat me numaish ko adaaye tu samajhta hai
ye dil barbad karke, isme kyo aabad rehte ho koi kal keh raha tha tum Allahabad rahte ho. ye keise sohrate mujhe ataa kar di mere maula me sab kuch bhool jata hu magar tum yaad rehte ho.
hame behosh kar saaki, pila b kuch nahi hamko. karam bhi kuch nahi hamko, sila bhi kuch nahi hamko. mohabbat ne dia he sab, mohabbat ne liya he sab mila kuch b nahi hamko, gila bhi kuch nahi hamko.
Tumhi pe marta hai ye dil adawat kyo nahi karta kai janmo se bandi hai bagawat kyo nahi karta.. kabhi tumse thi jo wo hi shikayat he jamane se meri taarif karta hai mohabbat kyo nahi karta..
koi kab tak mahaj soche, koi kab tak mahaj gaaye ilahi kya ye mumkin hai k kuch aisa bhi ho jaye. mera mehtaab uski raat ke aagosh me pighale. me uski neend me jaagu wo mujhme ghul ke so jaye.
Waada to kr lete hain , nibhana bhul jate hain lga krr aag sine me bujhana bhool jate hain, Bhulna to aadat ho gyi hai logo ki rulate hain fir manana bhool jate hain.
Uski Chahat Se Ikrar Na Krte, Uski Kasmo Pe Aitbar Na Karte, Pata Hota Hum Sirf Mazak Hai Unke Liye, Kasam Se Jaan Dete Magar Pyar Na Karte....!
Hum ne to saza pai he teri dagai ki, Yaad aati he harpal teri bewafai ki, Badi beshami se gairo ka daman tune tham liya, Ye to bata ke mere pyar me burai kya thi..
Please Login or Sign Up to write your book.