Dosti koi khoj nahi hoti,
Yeh har kisi se har roz nahi hoti,
Apni zindagi mein hume be wajah mat samajhana,
Kyunki palkhein aankhon par kabhi bhoj nahi hoti..
Words for every feeling
Share your writing ↗Hindi Shayari
A little shayari, a little reflection. Read words shared from the heart.
Yun nazar se baat ki aur dil chura le gaye,
Andhere ke saye mein aap to dhadkan suna gaye,
Hum to ajnabi samajhte the aap ko,
Aap to humko apna bana gaye..
Ishq to kehte hain rab ki ibadat hai,
Kyun bhala izhaar se darte hain log,
Halaat ko kabu karne ko kehte hain,
Jab ki kisi ka nahi hai is dil pe zor..
Suna hai Ishq ke rang do chaar nahi hazar hote hain,
Akshar Naino se baat baar baar hote hain,
Pata nahi kyun khamosh rehte hain yeh lafz,
Tera ehsaas is Dhadkan ko har baar hota hai..
Gulaab khilte rahe zindgi ki raah mein,
hassi chamakti rahe aapki nigaah mein,
khushi ki lahar mile har kadam par aapko,
deta hai ye dil dua baar-baar aapko.
Pyar koi barish ka nam nhi
Jo barse aur tham jaaye
Pyar suraj bhi nahi ,
Jo chamke aur doob jaye
Pyar to naam hai Saans ka
Jo chale toh zindagi aur
Ruke toh maut ban jaaye..!!
Your voice belongs here.
Share a thought, a poem or a story with the community.
Start writing ↗