Tanhai swikaar kar le Khamoshi ikhtiyaar kar le Unke aane ka intezaar na kar Unki yaadon se pyaar kar le
Sab pahle se likha Hota hai Par adami ko ahista ahista nazar aataa hai
Na tune dhoka diya Na maine dhoka diya Samay dhoka deta hai Samay ne dhoka diya
Main akele kuch Kar sakun Main kahan itna kabil tha Mere har gunaah mein tu bhi mere saath shamil tha
Tu khamakha kyun Ghabrata hai Woh mulla ko toh adat hai Woh sab ko khuda ke khauff se darata hai
Na jaane ye kaisi pyaas hai Ye kaisi tishnagi hai Kis pyaas mein kiski pyaas mein Pyaasi pyaasi si ye zindagi hai
Tu phir iss janam mein mila hai Na jane ye kab ka silsila hai
Gurur na kar khud par Tere yahaan tak aane mein Bahot logon ka karz hai tujh par
Zindagi auron ke liye Jeena sikhon Ek din unke hi kandhon Par jaana hai
Apne apnon ke liye Tu bhi ahem hai Tu zarra a khaak hai Ye uska wahem hai
Ye zamin aasmaan sab Jab usi ka hai To jab yahaan nahi dare To wahaan bhi nahi darege
Hijr ek pal bhi araam nahi deta hai Judaai mein waqt guzar ne ka naam nahi leta hai
सिगरेट 🚭 तू मेरी ज़िन्दगी का हिस्सा है , अल्फाज मैं कुछ भी लिखू वो मेरा किस्सा है...✍️ ~~भाई का छोटा भाई~
Duniya itni zalim hogi pata nahi tha Main bachcha tha anjaan hi toh tha Bachpan mein main nadan hi toh tha
Please Login or Sign Up to write your book.