Mujhse nafrat na kar tu aye Namaazi Ke woh mera bhi khuda hai mai bhi usko pyara hoon Main kafir hua to kya hua Main bhi uska dulara hoon
Mujhe jaane do jane do apni manzil pe jaane do Ke iss duniya mein ab mera kahin dil hi nahi lagta
Badi ummid se main tere ghar barat laya tha Khabar kya thi woh jashn matam mein badlega
Main tanha hoon kisi kone mein chup chaap baithunga Tum apne dil mein thodi si jaga dedo mere katil
Kya itni taqat hoti hai Kisi ki buri nazar mein Ke adami ko pahucha deti hai kabar mein
Kya itni taqat hoti hai kisi ki buri nazar main Ke adami ko pahucha deti hai kabar main
Khoon mein ubaal aaya hai Junoon be shumar aaya hai Kiraye ki kursi khali karo Taqt par baithne asli rajkumar Aaya hai
Ye meri aur uperwale ki ladaai hai Aye adami tu mujhse na ULAJHNA Jab woh khamoshi se chup chaap Sunta hai toh teri kya aukaat hai
Safed kurta paijama pahen kar badi shaan se nikla hai Jaise safed safed anda abhi abhi murgi ke Usme se nikla hai
Main uski shakal bhi nahi dekhna chahta hoon Magar uske aane jaane ke Rastey mein mera ghar lagta hai
Jab khauffey khuda na raha Toh kisi insaan se kya darna
Tera pandit tera mulla tera padari Mujhe tere khauff se darta hai Mujhe tere darawana aur bhayanak Chahera woh dikha ta hai
Badalon mein doob gaya umeed ka tara Naseeb se hara meri kismat ka sitara
Duniya mein adami ki izzat nahi Adami ke paas kya hai uski izzat hai
Please Login or Sign Up to write your book.