Maana Ki Naseeb Mein Mere Koi Sanam Nahi,
Fir Bhi Koi Shikwa Koi Gam Nahi,
Tanha The Aur Tanha Jiye Jaa Rahe Hai,
Badnasib To Wo Hai Jinke Nasib Mein Hum Nahi.
Words for every feeling
Share your writing ↗Latest Shayari
A little shayari, a little reflection. Read words shared from the heart.
Suna hai Ishq ke rang do chaar nahi hazar hote hain,
Akshar Naino se baat baar baar hote hain,
Pata nahi kyun khamosh rehte hain yeh lafz,
Tera ehsaas is Dhadkan ko har baar hota hai.
Kam Karo Asia Ki Pahchan Ban Jaye,
Chalo Aise Ki Nisan Ban Jaye,
Zindgi To Her Koi Kat Leta Hai Dosto,
Jiyo Is Kadar Ki Misal Ban Jaye.
जली को आग कहते हैं…!
बुझी को राख कहते हैं…!
जिसका Missed call देखते ही इंसान घर आ जाये…!
उसे “बीवी की धाक” कहते हैं…!
Peene Pilane Ki Kya Baat Karte Ho,
Kabhi Hum Bhi Piya Karte The,
Jitni Tum Jaam Mein Liye Baithe Ho,
Utni Hum Paimaane Mein Chod Diya Karte The.
Phoolon mein , sitaron mein,
Yeh haseen aag lagade ,
Hum chahein to fitrat ka har ek zakhm sajade,
Yeh duniya badi nafrat se hume dekh rahi hai,
Aao, ise hum pyar ka andaaz batade.
Rabb kare tu sada hasdi rahe,
Koi dukh tere nere vi na aave,
Hor ki dua manga rabb to,
Tenu sadi vi umar lag jaave!!!
Aakhiya De kolo Sada Reh sajna,
Assi Lakh War Tak Ke Vi Nahi Rajna,
Mukhra Na Mori Sada Zor Koi Na,
Kade Chaad Ke Na Javi Sada Hor Koi Na.
Har aarzoo hamesha adhuri nahi hoti,
Sacche rishton mein kabhi doori nahi hoti,
Aur jis dil mein Sonam jaisi mehbooba basti ho,
Uske liye to dhadkan bhi jaroori hoti hai.
Mohabbat ki zanjeer se der lagta hai,
kuch apni taqdeer se der lagta hai,
jo mujhey tujh se juda kerti hai,
mujhey hath ki uss lakeer se der lagta hai!
Tere pyaar ka sila har haalmein denge,
Khuda bhi maange ye dil toh nikaal denge,
Agar dil ne kaha tum bewafa ho,
Toh is dil ko bhi seene se nikaal denge!!
Kuchh nasha Tirange ki aaan ka hain,
Kuch nasha Matrbhumi ki shaan ka hai
Hum lahrayenge har jagah ye Tiranga
Nasha ye Hindustan ki shaan ka hain..!!
Jeene ke liye tera ek armaan hi kafi hai,
Dil ki kalam se likhi yeh dastan hi kafi hai,
Teero talwar ki tujhe kya jarurat hai haseena,
Katl karne ke liye teri muskan hi kafi hai.
Mera “Hindustan” mahan tha,
Mahan hai aur mahan rahega,
Hoga hausla sab k dilo me buland
To Ek din Pak b Jai Hind kahega.
Zindagi Ke Liye Jaan Jaroori Hai,
Jeene Ke Liye Armaan Jaroori Hai,
Hamare Paas Chahe Ho Kitne Bhi Gham,
Tere Chehre Par Muskan Jaroori Hai.
Your voice belongs here.
Share a thought, a poem or a story with the community.
Start writing ↗