Zalimon ko khoon pilata hai Gareebon ko bhukha sulata hai Apne aap ko khuda kahlata hai
Khud ko khush dil aur khush mijaaz kahlata hai Aur dusron ke maiyat par jake muskurata hai
Ya khuda tu agar mujhe panoti deta hai Toh main bhi tujhe chunoti data hoon
Aye khuda kutte ki dum ek bar sidhi ho bhi sakti hai Par teri duniya sidhi honewali nahi
Haath mein haath dalke chalte hai Dar nahi lagta sab tujh ko dekh ke jalte hai
Maa baap ko bhulega Soch raha hai jannat ke Jhule mein jhulega
Sar jhukata hai Sajde mein Badnaam bada hai kazbe mein
Dhaar nahi hai talwaar mein Dushman khada hai kataar mein
Kya khaas hai ye sansaar mein Har chiz bikti hai bazaar mein
Aye khuda tu kya samajh ta hai tune adami ko banaya hai Ye teri galat phaimi hai Adami ne tujhe banaya hai
Bhai ko bhai ka dushman banata hai Aur masjid lijakar sajda karata hai
Darta toh main bhi nahi hoon tere khauf se Aaja mere samne bade shauk se
Ya allaah mujhe bhi talim banade Tere jaisa zalim banade
Hay re mere rabba haay re mere rabba Teri duniya ab ho gayi hai kachre ka dabba
Aye khuda agar teri fitrat mein kaher To main bhi insaan hoon mere khoon mein bhi zaher
Please Login or Sign Up to write your book.