Hamare sher sun kar ke jo khamosh itna hai khuda jaane gurur-e-husn me madhosh kitna hai kisi pyaale se pucha hai surahi ne sabab may ka jo khud behosh ho keise bataye hosh kitna hai..
Maangi thi jab humne dua rab se, Dena mujhe wo dost ho jo alag sabse, Usne hume mila diya aapse aur kaha Sambhaalo inhe yeh anmol hai sab se
Dhaltee Huyi Shaam Sey Ab Darr Lagtaa Hain, Ishq K Anjaam Sey Ab Darr Lagtaa Hain, Jabse Milee Hain Bewafaai Hume Ishq Me, Tabse Ishq K Naam Se B Ab Darr Lagtaa Hain!
Jaam Par Jaam Peeney Kaa Kya Faayda, Shaam Ko Pee, Subah Tak Utar Jaayegi, Arre Peeni Hi Hai Toh 2 Boond Dosti Ki Pee, Saari Zindagi Phir Bas Nashe Me Hi Guzar Jaayegi!
Dooriya Toh Dosti Me Aati Rehti Hai, Phir B Ye Dosti Dilon Ko Mila Detee Hain, Wo Dost Hi Kya Joh Naraaz Na Ho, Magar Sachi Dosti Doston Ko Mana Leti Hain!
Ishq Or Dosti Merey 2 Jahan Hai, Ishq Meri Ruh Toh Dosti Mera Imaan Hain, Ishq Pr Toh Fida Kar Doon Apnee Saari Zindagi, Lekin Dosti Par Toh Mera Ishq B Kurbaaan Hain!
Manzilo Se Apni Kabhi Dar Na Jaana, Raastey Ki Pareshaaniyo Se Kahi Toot Na Jaana, Jab B Zaroorat Ho Zindagi Me Kisi Apne Ki, Hum Aapke Apne Hi Hai Yeh Bhool Na Jaana!
Agar Ham khud ko bhool jaye toh koi gam nahi, Agar aapko bhool jaye toh woh Ham nahi, Chaahte hai Ham dosto ko jaan se bhi zyada, Unke liye apni jaan bhi chali jaye toh koi gham nahi!
Please Login or Sign Up to write your book.