Skip to content
ShayariBooksA home for words.
Words for every feeling

Dard Bhari Shayari

A little shayari, a little reflection. Read words shared from the heart.

Share your writing ↗
986 piecesLatest published writing · Page 38
Dard Bhari Shayari
Tamanna Phir Machal Jaaye, Agar Tum Milne Aa Jaao, Ye Mausam Bhi Badal Jaaye, Agar Tum Milne Aa Jaao. Mujhe Gham Hai, Ke Maine Zindgi Main Kuchh Nahi Paaya, Ye Gham Dil Se, Nikal Jaaye, Agar Tum Milne Aa Jaao!! Ye Duniya Bhar Ke Jhagde, Ghar Ke Kis’se, Kaam Ki Baatain, Balaa Har Eik, Tal Jaaye, Agar Tum Milne Aa Jaao!!! Nahi Milte Ho, Mujh Se Tum To, Sab Humdard Hain Mere, Zamana Mujh Se, Jal Jaaye, Agar Tum Milne Aa Jaao!!
Dard Bhari Shayari
Jisko Tum Chaaho Wo Mohabbat Jo Tumhein Chaahe Us Ka Kya..? Jo Tumhein Chaahe Us Ka Kya..? Jiske Liye Tum Roye Wo Mohabbat Jo Tumare Liye Roye Uska Kya..? Jo Tumare Liye Roye Uska Kya..? Jiske Liye Tum Tarpe Wo Mohabbat Jo Tumhare Liye Tarpa Uska Kya..? Jo Tumhare Liye Tarpa Uska Kya..? Jisko Tumne Chaaha Wo Tumko Mile Aur Jis Ko Tum Na Mile Uska Kya..?
Dard Bhari Shayari
Zindegi mai jeene ke liye ek maksat hona chahiya, Jo mera ab nahi hai.... Tum jab mujhe chord k gay tab mein mera zendegi jeena ka maksat kho diya tha.... Ab mein jeeu aur maru iss mai kisika kuch bhi nahi.... Lekin mein iss Zindegi tumahare nam_se hi Jeeta Hun........
Dard Bhari Shayari
Wo sava yaad aaye bhulane ke bad zindagi badh gai zeher khane ke bad dil sulagata raha aashiyane ke bad aag thandi hui ik zamane ke bad roshni ke liye ghar jalana pada kaisi zulmat badhi tere jane ke bad jab na kuch ban pada arz-e-gam ka javab wo khafa ho gaye muskurane ke bad dushmanon se pasheman hona pada hai doston ka khulus aazamane ke bad bakhsh de ya rab ahal-e-havas ko bahisht mujh ko kya chahiye tum ko pane ke bad kaise kaise gile yaad aaye ‘khumar’ un ke aane se qabl un ke jane ke bad

Your voice belongs here.

Share a thought, a poem or a story with the community.

Start writing ↗