Inspirational Shayari

Tum zara apna nakab to utaro Muddatein ho gayi tumhara chehra dekhe hua

Kaise pata chalega kaun apna hai kaun paraya hai Jo bhi milta hai woh Mukhauta laga kar milta hai

Adami bhi na jaane kis Kism ka jaanwar hai Insaanon ki tarha kyun nahi rahta Insaan agar hai

Jannat ki lalach mein log gumraah ho gaye the Auron ko bhi khadde mein Gaadh diya aur khud bhi Kabrgaah ho gaye the

Roz suraj nikal ta tha Roz subha hoti thi Par zindagi ki kabhi Saher na hui

Sufiyon ke dhol nagadon ne Islam ko jagaye rakha hai warna Islam kab ka so gaya hota Talwaaron ke zor par riyasatein zyada waqt Hukumat nahi kar pati hai

Chhot jigar par khaakar bhi chehre par muskurahat rakhte hai Tum hume chaho ya na chaho hum dil mein tumhari chahat rakhte hai

Dil chahe jalkar khaak ho jaye Zubaan se dhua Nahi nikalna chahiye Matlab uski aach bahar Nahi aani chahiye

Apne andar bhi bahot kala hai Kyunki apna dil bahot jalaa hai

Dil mein kitna hi dard kyun na ho Chehre par shikan nahi ane dena Warna duniya jeene Nahi degi

Bahot Ghana aur hara bhara pedh hai mohabbat ka koi chhota sa pauda nahi Taqt o taaj ke aagey nahi jhukti Nahi daulat ke aagey bikti hai Ye mohabbat hai dilon ka mazbut rishta Mohabbat mein sauda nahi

Ussey hi dozakh ki aag mein Dhakel do Jo dozakh se masoomon ko Darata hai

Wohi insaaniyat ka katil hai Jo jannat ke kisse sunata hai

Fakiri mein zindagi guzar karli humne Umr tanhaai mein basar karli humne Tum jahaan chhod kar gaye they humko Zindagi wahin tumhari yaadon ki nazar karli humne

Bas dil hi jaanta hai Ke meri unn se kya nisbat hai Baat akhir yahi sach hai ke Ek tarfaa mohabbat hai