Inspirational Shayari

Kareeb jana hai to baat karni padegi Pyaar jatana padega Yun dur rahne se aur khamoshi se Faasley aur badhege

Aye mere yaar Aye mere jaan ke raqeeb Meri barbadi ki khatir Tu ne azmaai kaisi kaisi tarqeeb

Kya saadgi hai kya masumiyat hai Issey banaaye rakhiye janaab Aaj kal iss ki badi killat hai

Aap ne jitna pyaar diya Hame wohi kafi hai Hum par woh bhi ek aap ka Bohot bada ahsaan hi to hai

Koi andar hi andar Toot kar bikhar jata hai Par logo ke liye Upar hi upar se muskurata hai

Kya zameer hai Kya hai imaan dharam Sab adami fitur hai Sab hai adami ka bharam

Dil bhi kuch iss tarha se toota Ke phir jud na saka Jaise sukha hua phool Phir khil na saka

Woh samajhte hai Ke woh humko samajhte hai Hum samajhte hai ke hum ko To hum bhi nahi samajh paye Phir woh hum ko kahaan se samjhege

Ek arsey se hum unke muntazir rahe Jab ke hamare bhi kayin muntazar the

Bas saans chal rahi hai aise Main mara bhi nahi hoon aur main zinda bhi nahi hoon jaise

Ahsaas hi agar mar Jaye Toh phir kya nazdikiyan Aur kya duriyaan

Main apne maashre mein Bahot badnaam hoon Kyunki main ek Bekhauff insaan hoon

Gahri chot se patthar toot jate hai Toh phir insaan ki kya hasti hai

Tumhare shaher ki chhaanv mein jab Itni tapish hai Tab dhoop mein kitni Agan hogi

Hum jinki aahat par bhi chauk jate hai Woh hamari dastak ko Bhi nazaar andaaz karte hai