Dil mein kitna hi dard kyun na ho Chehre par shikan nahi ane dena Warna duniya jeene Nahi degi
Bahot Ghana aur hara bhara pedh hai mohabbat ka koi chhota sa pauda nahi Taqt o taaj ke aagey nahi jhukti Nahi daulat ke aagey bikti hai Ye mohabbat hai dilon ka mazbut rishta Mohabbat mein sauda nahi
Ussey hi dozakh ki aag mein Dhakel do Jo dozakh se masoomon ko Darata hai
Wohi insaaniyat ka katil hai Jo jannat ke kisse sunata hai
Fakiri mein zindagi guzar karli humne Umr tanhaai mein basar karli humne Tum jahaan chhod kar gaye they humko Zindagi wahin tumhari yaadon ki nazar karli humne
Bas dil hi jaanta hai Ke meri unn se kya nisbat hai Baat akhir yahi sach hai ke Ek tarfaa mohabbat hai
Tumhe apne be-jaan murda samaan ke sajawat ki padi hai Mujhe ye fikar ke apni zinda bikhri hui zindagi ko kaise samethun
Saanson mein aaj bhi teri hi khushboo hai Tu hi mere jism o jaan hai Tu hi meri rooh hai
Aaj bhi yaad hai mujhe kal ki woh saari baatein Kis tarha kati thi humne Woh tanha tanha raatein
Yaadon ke jungle mein ghoom raha hoon Guzre hua daur ko dhoond raha hoon
Guzra huaa zamana Jab jab bhi yaad aata hai Dil ko dahla kar jaata hai
Dukh ki yaadein ho ya Sukh ki yaadein ho Guzri hui yaadein jab bhi aati hai Dil ko taklif hi deti hai
Sukh mein thaher ta nahi hai Dukh mein kat ta nahi hai Waqt adami ke hisaab se Kabhi chalta nahi hai
Kaun insaaniyat ka Dagabaaz tha woh Jo jannat ki Haqeeqat Jaanta tha
Haqiqat kya hai Kaun jaanta hai Kaun jaanta hai Haqiqat kya hai
johnnyLip is offline
sanjeet kumar singh is offline
Ankush is offline
Rajesh is offline
DP is offline
Kuldeep is offline
Pawan is offline
Satyam is offline
Meena is offline
JamesEdipt is offline
SB is offline
Girijesh is offline
SAJAN is offline
Rathin is offline
JessieRit is offline
Please Login or Sign Up to write your book.