Inspirational Shayari

Adami achcha tha sunne ke liye Marna padh ta hai

Koi nadaan nahi hai Sach sab ko pata hai Sach se koi anjaan nahi hai Magar sach kahne ki himmat kisi mein nahi hai Bekhauff sach likhna aur bebaak ho kar Buland awaaz mein Sach kahne ki himmat Sirf fakeera the fakir badshaah Saab mein hi hai

Allaah allaah kya karta hai Allaah ki taqat nahi hai ke kisi ko kuch de sake woh channd log unki kismat se tawangar hai warna zyada tar to muflis o pareshaan hai FAKEERA THE FAKIR BADSHAH SAAB

Yadon ke jungle mein kante khile hai Dil ke paanv mein Chhaale padhe hai

Tu jo rula kar mujhe piche mudh gaya Main bhi aansu poch kar Aage badh gaya

Khuda ka shukar hai humne Kabhi ibadat nahi ki Humne hadh se zyada ibadat karne walon ko bhi haath failate hua dekha hai

Sab apni apni raah par chal diye Main jahaan baitha tha wahin baitha hoon

Yahaan chahra saaf suthra hona chahiye Dil kitna bhi maila kuchla ho chal jata hai

Itni badmashiyan kar ke bhi Main badnaseeb badnaam na ho saka Badnaam na ho saka iss liye Mera naam na ho saka

Zindagi ka koi aitbar nahi Zindagi kisi se wafadar nahi

Maut ka yakeen hota hai Par zindagi par bharosa nahi hota

Woh Jo asal hai Woh to koi aur hi hai Tu jiski ibadat karta hai Woh to sab saaf nakli hai

Manaane mein jinko zamane lage hai Wohi aaj rooth ke jaane lage hai

Ibadat bhi ek nasha hai Zyada na kar Nahi toh Kattar ho jayega

Koi gareeb mazlum Koi zalim tanaashaa Dekha nahi jata ab Aye duniya tera ye tamaashaa