Inspirational Shayari

Ek waqt tha ek adami hazaar kaam ka adami tha Aaj wohi ek adami ek kaam tak ka bhi nahi raha

Ishwar Allaah God ka toh pata nahi ke Zindagi mein kabhi zarurat par kaam Aaye ho ya nahi Par adami ke paas agar daulat ho toh daulat waqt par zaroor kaam aati hai

Maa baap ne shahzade ki tarha khila pila kar paal pos Kar ussey bada kiya Par woh to shaadi hote hi Aurat ka gulaam ho gaya

Woh koi aur hI hai Jo iss sansaar ko chala raha hai Ishwar Allaah God ka naam na le Ye to insaanon ke banaye mahez kore shabd hai

Koi kya jane kya ho jayega Kaunse pal Har ek mulaqat ko Tu akhari mulaqat samajh ke chal

Mujhe woh dekhe ya na dekhe Mere dil mein jo aag hai woh Ek din udhar bhi lagegi Pyaar ki pyaas hai pyaar se hi bujhegi

Kya koi batayega Ke CORONA VIRUS DHARM MAZHAB RELIGION se Bhi zyada JAANLEWA HAI kya NAHI na toh PHIR

Kya tera husn kya tere jalwe kya teri adaa hai Tujh par to har khaas o aam fida hai Tu paisa hai ya tu khuda hai

Jaise mutti se ret fisal kar bikhar jati hai tik usi tarha Ek ek guzar te lamhe ke saath Zindagi ghat ti jati hai

Hey ishwar yaa allaah oh god Aaj kal aap log toh bas insaanon ki zubaan par hi rahte ho Unke dilon se paise ne aap logo ko dhakke maar maar kar bahar nikal diya hai

Galib apne daur mein jitna hairaan tha Hum bhi apne daur mein utne hi pareshan hai

Rang badalne ka itna hunar girgit Bhi kahaan jante hai Waqt badalte hi woh mausam ki tarha badal jate hai

Tu intezaar karne ki aadat daal de Unhe vaada karke bhul jane ka shauk hai

Unke dil ke kayin shauk hai Tujhe tadpana bhi unka ek Bahot bada shauk hai Woh tujhe rulane ke bade Hi shaukin hai

Unke dil ke kayin shauk hai Tujhe tadpana bhi unke shauk mein shaamil hai