Inspirational Shayari

Jab koi chiz gandi ho jaati hai Toh ussey paani se saaf kiya jaata hai Magar jab paani ganda ho jaata hai Toh ussey phek diya jaata hai

Jaise mutthi se rett phisalti jati hai Ek ek guzar te din ke saath Umr ghat ti jati hai

Duniya ko chhodte waqt jo dard hota hoga Uss dard ko bas wohi samajh sakta hoga Jo maut ke karib hota hoga

Main ek banjaara hoon Main badal awaara hoon Main bhi kisi ke dil ka tukda Main bhi kisi ki aankh ka tara hoon

Ab to aaina bhi jhoot bolta hai Zaher ko amrit Amrit ko zaher bolta hai

Kis kaam ki woh bandagi Jab mari mari phirey zindagi Ussey toh achchi deewangi Ussey toh achchi awaargi

Main paida hi hua hoon iss duniya ko patthar marne ke liye Main pagal tha main paagal hoon main paagal hi rahugaa

Mere zakhmon ka ilaaj nahi kisi hakim kisi vaidh ke paas Main zakhmi tha main zakhmi hoon main zakhmi hi rahoogae

Main zindagi ki gadar se nahi haara Main haara toh teri buri nazar se haara

Itni taaqat hoti hai kisi ki buri nazar mein Ke adami ko lejakar sula deti hai kabar mein

Na main mandir mein jata hoon na masjid mein jata hoon Khuda khud mere ghar mujhse milne aata hai

Insaan se zyada patthar ka mol ho gaya Adami ne bhagwaan ko banaya aur bhawaan anmol ho gaya

umar bhar banjaaron ki tarha bhatakta rahuga Tere dil mein dhadkan ki tarah dhadakta rahuga

Meri zindagi mein agar kuch hai to sirf tanhaaiyan hai Meri parchaiyon ke piche bhi pareshaniyan hai

Asli fakir ban gaya duniya ka tamasha dekhne Main khud tamasha ban gaya duniya ka tamasha dekh kar