Inspirational Shayari

Ya khuda tu agar mujhe panoti deta hai Toh main bhi tujhe chunoti data hoon

Aye khuda kutte ki dum ek bar sidhi ho bhi sakti hai Par teri duniya sidhi honewali nahi

Haath mein haath dalke chalte hai Dar nahi lagta sab tujh ko dekh ke jalte hai

Maa baap ko bhulega Soch raha hai jannat ke Jhule mein jhulega

Sar jhukata hai Sajde mein Badnaam bada hai kazbe mein

Dhaar nahi hai talwaar mein Dushman khada hai kataar mein

Kya khaas hai ye sansaar mein Har chiz bikti hai bazaar mein

Aye khuda tu kya samajh ta hai tune adami ko banaya hai Ye teri galat phaimi hai Adami ne tujhe banaya hai

Bhai ko bhai ka dushman banata hai Aur masjid lijakar sajda karata hai

Darta toh main bhi nahi hoon tere khauf se Aaja mere samne bade shauk se

Ya allaah mujhe bhi talim banade Tere jaisa zalim banade

Aye khuda agar teri fitrat mein kaher To main bhi insaan hoon mere khoon mein bhi zaher

Apni kitabon mein badi badi baatein aur bade bade karta hai Gareebon ki jholi khali kar ke ameeron ki tijori bharta hai

Aye khuda tu apne naam se bahot darata hai logo ko Magar mujhe darane se pahle apna asli naam to bata

Aye khuda tune bahot achcha khel racha hai duniya ka Upar baithe baithe dekh raha hai naach gareeb ki Muniya ka